Qura'an ki FARYAAD ..
taqon main sajaya jata hun , ankhon se lagaya jata hun ..
taweez banaya jata hun , dho dho k pilaya jata hun ..
juzdaan hareer o resham ke , aur phool sitarey chandi ke..
phrr etar ki barish hoti hai , khushboo main basaya jata hun ..
jese kisi tota meina ko kuch bol sikhaye jatey hain ..
is tarah parhaya jata hun , is tarah sikhaya jata hun ..
jab qol o qasam lene k liye takraar ki nobatt ati hai ..
phrr meri zarurat parti hai , hathon per uthaya jata hun ..
dil sooz se khaali rehtey hain , ankhein hain k namm hoti hi nhiin..
kehney ko to main ek ek jalsey main parh parh k sunaya jata hun ..
naiki pe badi ka ghalba hai , sachai se barh k dhoka hai ..
ek baar hansaya jata hun sou baar rulaya jata hun ..
yeh mujhse aqeedat k daawey aur qanoon pe razzi gheron ke..
yun bhi mujhey ruswa kartey hain , aisey bhi sataya jata hun ..
kisi bazm main mera zikarr nhi . kisi urs main meri dhoom nhi ..
phrr bhi akela rehta hun , mujhsa bhi koi mazloom nhi ..
(aey ALLAH! hum sab ko quraan majeed parhney, samajhney , is per amal karney aur iska ilm doosron tak puhnchaaney ki toufeeq ata farma .. AMEEN )

Comment