Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aur hum hain dostoo

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aur hum hain dostoo

    uss bewafaka shahar hai aur hum hain dostoo
    aishk-e-rawan ki nahar hai aur hum hain dostoo
    yhe ajnabi se manzilain aur raftagan ki yaad
    tanhiyun ka zaher hai aur hum hain dostoo
    lai hai ab urra k gay mousamoo ki bass
    barkha k ruut ka qahar hai aur hum hain dostoo
    phirte hain misal-e-mooj hawa shahr shahr mein
    awargi ki lahar hai aur hum hain dostoo
    sham-e-alam dhali toh chali dard ki hawa
    raatuoo ka pichla pehar hai aur hum hian adostoo
    ankhoo mein urrrh rahi hai luti mehfilun ki dhool
    ibrat saray-e-dahar hai aur hum hain dostoo

  • #2
    Re: aur hum hain dostoo

    Wah
    Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
    Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

    Comment

    Working...
    X