Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

    Woh dil ka bura, na bewafa tha
    Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha

    Lafzoon ki hadoon say mawara tha
    Aab kis say kahoon woh shakhs kia tha?

    Woh meree ghazal ka aaeina tha
    Her shakhs yeh baat janta tha

    Her simat ussi ka tazkara tha
    Her dil mein woh jaisay bus raha tha

    Main uss ki ana ka aasara tha
    Woh mujh say kabhi na roothta tha

    Main dhoop k bun mein jal raha tha
    Woh saya-abr ban gaya tha

    Main banjh rutoon ka aashana tha
    Woh mosam-e-gul ka zaiqa tha

    Ek bar bicharr kay jab mila tha
    Woh mujh say lipatt kay ro pada tha

    Kia kuch na ussay kaha gaya tha?
    Uss nay to laboon ko see liya tha

    Woh chand ka hamsfer tha shayed
    Ratoon ko tamam jagta tha

    Hontoon mein guloon ki naram khushboo
    Batoon mein to shehad gholta tha

    Kehnay ko juda tha mujh say lekin
    Woh meree ragoon mein gonjata tha

    Uss nay jo kaha, kiya woh dil nay
    Inkar ka kis mein hosala tha

    Yoon dil mein thi yaad uss ki jaisay
    Masjid mein charragh jal raha tha

    Mat pooch hijab k qareenay
    Woh mujh say bhi kam hee khul saka tha

    Uss din mera dil bhi tha paresha'n
    Woh bhi meray dil say kuch khafa tha

    Mein bhi tha dara howa sa lekin
    Rang uss ka bhi kuch udda udda tha

    Ek khof sa hijar ki rutoon ka
    Dono pay muheet ho chala tha

    Ek rah say main bhi tha gurezaa'n
    Ek mod pay woh bhi ruk gaya tha

    Ek pal mein jhapak gaein jo aankhein
    Manzer he nazer main dosara tha

    Socha to theher gaey zamanay
    Dekha to woh door ja chuka tha

    Qadmoon say zamee'n sirak gaee thi
    Soraj ka bhi rang sanwala tha

    Chaltay howay log ruk gay thay
    Thehra howa sheher ghoomata tha

    Sehmay howay paid kanpatay thay
    Patoon mein heeras reengata tha

    Rakhta tha main jis main khawab apnay
    Woh kanch ka ghar chatakh gaya tha

    Hum donoo ka dukh tha aik jaisa
    Ehsas mager juda juda tha

    Kal shab woh mila tha dostoo'n ko
    Kehtay hain uddas lag raha tha

    Mohsin Yeh Ghazal Keh Rahi Hai
    Shayed tera dil bhi dukha howa tha





  • #2
    Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

    Originally posted by Innocent sweet girl View Post
    Woh dil ka bura, na bewafa tha
    Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha


    nice sharing sweet ji ... be happy
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #3
      Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

      bohat khubsoorat sharing hai jee :rose
      beautiful wording:thmbup:
      :rose Refreshing_breeze :rose

      Comment


      • #4
        Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

        :)

        Comment


        • #5
          Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

          :thumbup:
          Buhat hee Khobsurat hay
          ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
          372-haha372-haha372-haha

          Comment


          • #6
            Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

            its nice.
            good
            keep it up
            be happy

            Comment


            • #7
              Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

              Originally posted by Innocent sweet girl View Post
              Woh dil ka bura, na bewafa tha

              Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha

              Lafzoon ki hadoon say mawara tha
              Aab kis say kahoon woh shakhs kia tha?

              Woh meree ghazal ka aaeina tha
              Her shakhs yeh baat janta tha

              Her simat ussi ka tazkara tha
              Her dil mein woh jaisay bus raha tha

              Main uss ki ana ka aasara tha
              Woh mujh say kabhi na roothta tha

              Main dhoop k bun mein jal raha tha
              Woh saya-abr ban gaya tha

              Main banjh rutoon ka aashana tha
              Woh mosam-e-gul ka zaiqa tha

              Ek bar bicharr kay jab mila tha
              Woh mujh say lipatt kay ro pada tha

              Kia kuch na ussay kaha gaya tha?
              Uss nay to laboon ko see liya tha

              Woh chand ka hamsfer tha shayed
              Ratoon ko tamam jagta tha

              Hontoon mein guloon ki naram khushboo
              Batoon mein to shehad gholta tha

              Kehnay ko juda tha mujh say lekin
              Woh meree ragoon mein gonjata tha

              Uss nay jo kaha, kiya woh dil nay
              Inkar ka kis mein hosala tha

              Yoon dil mein thi yaad uss ki jaisay
              Masjid mein charragh jal raha tha

              Mat pooch hijab k qareenay
              Woh mujh say bhi kam hee khul saka tha

              Uss din mera dil bhi tha paresha'n
              Woh bhi meray dil say kuch khafa tha

              Mein bhi tha dara howa sa lekin
              Rang uss ka bhi kuch udda udda tha

              Ek khof sa hijar ki rutoon ka
              Dono pay muheet ho chala tha

              Ek rah say main bhi tha gurezaa'n
              Ek mod pay woh bhi ruk gaya tha

              Ek pal mein jhapak gaein jo aankhein
              Manzer he nazer main dosara tha

              Socha to theher gaey zamanay
              Dekha to woh door ja chuka tha

              Qadmoon say zamee'n sirak gaee thi
              Soraj ka bhi rang sanwala tha

              Chaltay howay log ruk gay thay
              Thehra howa sheher ghoomata tha

              Sehmay howay paid kanpatay thay
              Patoon mein heeras reengata tha

              Rakhta tha main jis main khawab apnay
              Woh kanch ka ghar chatakh gaya tha

              Hum donoo ka dukh tha aik jaisa
              Ehsas mager juda juda tha

              Kal shab woh mila tha dostoo'n ko
              Kehtay hain uddas lag raha tha

              Mohsin Yeh Ghazal Keh Rahi Hai

              Shayed tera dil bhi dukha howa tha
              bahut ache hai:wk

              Comment


              • #8
                Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

                buhat khoob.........:thmbup:



                Comment


                • #9
                  Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

                  Woh dil ka bura, na bewafa tha
                  Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha

                  Lafzoon ki hadoon say mawara tha
                  Aab kis say kahoon woh shakhs kia tha?

                  Kehnay ko juda tha mujh say lekin
                  Woh meree ragoon mein gonjata tha

                  Uss din mera dil bhi tha paresha'n
                  Woh bhi meray dil say kuch khafa tha

                  Mein bhi tha dara howa sa lekin
                  Rang uss ka bhi kuch udda udda tha

                  Ek pal mein jhapak gaein jo aankhein
                  Manzer he nazer main dosara tha

                  FANTASTIC SHARING

                  @@@________@@@__________@@@
                  Main muskura kar bhi ro parda hoon to kiyun khafa hain ye log
                  K phool tooti huwii qabar pay khilta hain
                  Use ganwaa ke zinda hoon is tarah " Mohsin"
                  K jaise teez hawaa main chiraagh jaltaa hai.


                  ______________________________

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

                    Thanku soo much to u All....




                    Comment


                    • #11
                      Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

                      Woh dil ka bura, na bewafa tha
                      Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha


                      wahhhhhh behtreen sharing . keep sharing :)
                      Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                      Sadly, common sense is not very common..!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

                        Bohat Umdah :)
                        Allah

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

                          kiya bat ha aap ki janab

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

                            bohat shukryaa ap sab ka passnd kerne ka..:)




                            Comment


                            • #15
                              Re: Aik ghazal......Wo dil ka Bura na Bewafa tha...

                              Originally posted by Innocent sweet girl View Post
                              bohat shukryaa ap sab ka passnd kerne ka..:)
                              you are welcome :)
                              Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                              Sadly, common sense is not very common..!!

                              Comment

                              Working...
                              X