Tujhi sey ibtada hay , tu hi ik din intaha ho ga
sadaa_e saaz ho gi aur na saaz_e be-sada ho ga
humain maloom hay hum sey suno mehsher main kiya ho ga
sab us ko dekhtey hoon gay wo hum ko dekhta ho ga
sar_emehsher hum aise aasiyoo.n ka aur kiya ho ga
dadr_e jannat na waa ho ga, dar_e rehmat na waa ho ga
jahannum ho k jannat ji bhi ho ga faisla ho ga
ye kiya kum hay humara aur us ka samna ho ga
nigah_e qeh'r per hu jaan_o dill sab khoye betha hay
nigah_e meher aashiq per agar ho gi tu kiya ho ga
ye mana bhejh dey ga hum ko mehsher sey jahannum main
magar jo dill pe guzrey gi wo dill hi janta ho ga
samajhta kiya hay tu diwaan-gaan_e ishq ko zahid
ye ho jain gai jiss janib usi janib Khuda ho ga
Jiger ka haath ho ga hashr main aur daman_e hazrat
shikayat ho k shikwah jo bhi ho ga barmala ho ga

Comment