Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

gulzar lyrics

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • gulzar lyrics

    gulzar lyrics


    Kitaabain jhankti hain
    band almari k sheeshoon se
    bhari hasrat se takti hain
    maheenon ab mulaqaatain nahi hoti
    jo shamaain un ki suhbaat main katta karti thein
    ab aksar guzar jati hain
    computer k pardoon par

    bari bay chain rehti hain kitaabain
    inhain ab neend main chalnay ki aadat hogai hay
    bari hasrat se takti hain
    jo qadrain jo woh sunatein thein
    k jin k sal kabhi martay nahi thay
    woh qadrain ab nazar aati nahi ghar main


    jo rishtay woh sunati thein

    woh saray udhrhay udhrhay hain

    koi safha palat ta hoon to ik siski nikalti hay --------

    kai lafzoon k mainee gir paray hain

    bina patoon k sookhay dhund lagtay hain woh sab alfaaz

    jin pe ab koi maani nahi hotay

    bohat sii istalhain hain jo matti k sokorron ki tarah bikhri pari hain

    classon main unhain makri ka dala


    zaban pe jo aata tha zaiqa safhay paltnay ka

    ab ungli click karnay se aik jhapki guzarti hay

    bohat sa teh ba teh khulta chala jata hay

    kitaboon se jo zaati rabta tha

    kat gaya hay


    kabhi seenay par rakh kar lait jatay thay

    kabhi goudi main laytay thay

    kabhi guthnoon ko apnay rehal ki sorat bana kar

    neem sajday main parha kartay thay

    chotay thay jabeen se


    Khuda nay chaha to woh sara ilm milta rahay ga

    baad main bhi

    magar woh jo kitaabon main mila kartay thay

    sookhay phool ---------


    kitabain mangnay

    girnay uthanay k bahanay rishtay

    bantay thay un ka kia hoga!!!??/!!!

    woh shayad...... ab nahiin hoon gay!!


    Kitaabain Jhankti Hain
    Last edited by .; 15 December 2016, 22:24.
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

Working...
X