Thoo nay daikha hay kabhi aik nazar shaam kay baad ,
kithnay chup chaap say lagthay hain shajar shaam kay baad,
ithnay chup chaap keh rasthay bhi rahain gay la'ilm ,
chorh jayaingay kisi roz nagar shaam kay baad ,
main nay aysay hi gunah thaire judaye main kiyay,
jaysay thofa'n main koye chorh day ghar shaam kay baad,
shaam say pehlay wo masth apni urhano'n main raha ,
jis kay hathon main thay tootay huway par shaam kay baad,
raath beethee tho ginnay aablay aur phir socha ,
kon tha bayis e aaghaaz e safar shaam kay baad,
tho hay sooraj, thujay maaloom kahan raath ka dukh,
thoo kisi roz mairay ghar main uthar shaam kay baad,l
laut ayay na, kisi roz wo awara mizaj ,
khol rakthay hain,issi aas peh dar shaam kay baad,
Comment