kiye aarzoo se paimaaN jo ma'al tak na pahunche
shab-o-roz-e-aashnaai mah-o-saal tak na pahunche
woh nazar baham na pahunchi ke muHeet-e-Husn karte
tiri deed ke waseele Khad-o-Khaal tak na pahunche
wahi chashma-e-baqaa thha jise sab saraab samjhe
wahi Khwaab mo'atabar thhe jo Khayaal tak na pahunche
tera ltuf wajh e taskeen, na qarar sarh ghum sai
ky hein dil mein wo gily bhee jo malal taak na pahunche
koi yaar jaaN se guzra, koi hosh se na guzra
yeh nadeem-e-yak do saaGhar mire Haal tak na pahunche
chalo Faiz dil jalayeN kareN phir se arz-e-jaanaN
woh suKhan jo lab tak aaye pe sawaal tak na pahunche
Faiz Ahmad Faiz

Comment