Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay

    Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
    Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
    Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
    Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
    Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
    Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
    Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
    Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
    Gar Fikr-e-zakhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
    Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
    Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
    Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
    Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
    Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay

    Faiz Ahmad Faiz
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay

    wah je kiya umda kaha


    Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
    Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay

    baqi ki ghazal be betreen

    Comment

    Working...
    X