dasht-e-tanhai mein ay jan-e-jahan larzan hain
teri awaz ke saaye teray honton kay sarab
dasht-e-tanhai main doori ke khas-o-khak talay
khil rahay hain tere pehlo ka saman aor gulab
uth rahee hain kahien qurbat se teri sans ki aanch
apni khusbhu me sulgti hoe madham madham
dor ufaq par chamakti hoi qatra qatra
gir rahee hey teri dildar nazar ki shabnam
is qadar piyar se ay jaane-e-jahan rakha hy
dil ke rukhsar pe is waqt teri yad ne haath
yoon ghuma hota ha gar-chey hay abi shb-e-firaq
dhaal gaya hijr ka din, aa bii gai wasl ki raat