Na siyo hont na khwabon mai sada do hum ko
Maslehat ka yeh taqaza hai bhula do hum ko
Jurm-e-suqrat se hat ker na sada do hum ko
Zeher rakkha hai to yeh aab-e-baqa do hum ko
Bastiyan aag mai beh jaayen ke patther barsein
Hum agar soye huye hain to jaga do hum ko
Hum haqeeqat hain to tasleem na karne ka sabab
Haan agar harf-e-ghalat hain to mitaa o hum ko
Zeest hai is seher-o-shaam se bezaar-o-zabooN
Laala-o-gul ki tarah rang-e-qaba do hum ko
Shorish-e-ishq mai hai husn barabar ka shareek
Soch ker jurm-e-tamanna ki saza do hum ko

Comment