Re: Raat Poore Chand ki
Gaye denon ka suragh lekar, kekhar se aya, kekhargia woh
Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhe to hairan kar gia woh
Bas aik mooti si chab dekha kar, bas aik meeti si dhun suna kar
Sitara-e-shaaam banke aya, barang-e-khab-e-sahar gia woh.
Woh maikade ko jagane wala, woh raat ki neend urhane wala,
Yeh aaj kia uske jee main aya, keh shaam hote hi ghar gia woh.
Woh hijr ki raat ka sitara, woh ham nafas ham sukhan hamara,
Sada rahe uska naam piara, suna hai kal raat mar gia woh.
Woh jiske shanon pe haath rakhkar, safar kia too ne manzilon ka,
Teri gali se na jane kion aaj, sar jukhaye guzar gia woh
Woh raat ka benawa musafir, woh tera shaer woh tera Nasir,
Teri gali tak to ham ne dekha tha, phir na jane kedhar gia woh.
Nasir Kazmi.
Ali Bhai

Comment