Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

    aslaam_u_alikam

    Ahmed faraz ka yeh kalam mujhey behad pasand hey.
    aap sab bhi baatiye ga keh aap ko kesaa lagtaa hey yeh kalaam


    ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

    ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N
    yaad kyaa tujh ko dilaaye.N teraa paimaa.N jaanaa.N

    yuu.N hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
    kis qadar jald badal jaate hai.n insaa.N jaanaa.N

    zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
    ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaa.N jaanaa.N

    dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii
    dil kii kyaa baat kare.n dil to hai naadaa.N jaanaa.N

    avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
    bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaa.N jaanaa.N

    aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahii.n
    rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaa.N jaanaa.N

    muddato.n se ye aalam na tavaqqo na ummiid
    dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaa.N jaanaa.N

    ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
    Gam-e-dauraa.N se judaa hai Gam-e-jaanaa.N jaanaa.N

    ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraa.N jaanaa.N
    sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaa.N jaanaa.N

    har ko_ii apanii hii aavaaz se kaa.Np uThataa hai
    har ko_ii apane hii saaye se hiraasaa.N jaanaa.N

    jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai
    shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaa.N jaanaa.N

    ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal me.n aaye
    aur se aur huaa dard kaa unvaa.N jaanaa.N

    ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the
    ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraa.N jaanaa.N

    hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa
    jaise u.Date huye auraaq-e-pareshaa.N jaanaa.N
    Last edited by Fatima Asad; 9 September 2005, 12:07.

  • #2
    Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

    younhi moasam ki ada dekh k yaad aaya hey
    kis qadar jald badal jatey hain insaaN janaaN :)

    bohat khoob :rose




    Comment


    • #3
      Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

      umda:)

      Comment


      • #4
        Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

        EXCELLENT and my Favourite as well

        Comment


        • #5
          Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N


          Assalaam-0-Alaikom:rose


          buht zabardast
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #6
            Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

            bohat khoob :rose

            Comment


            • #7
              Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

              Ala jeee Ala:rose
              Har-Fun-Moula

              Comment


              • #8
                Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa

                jaise u.Date huye auraaq-e-pareshaa.N jaanaa.N


                bohuttttttttttttttttt hi khub !
                lajawab !!!

                Comment


                • #9
                  Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                  v nice bohat umda

                  Comment


                  • #10
                    Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                    Bohat khubsurat kalam hai.Agar aap isay yahan Urdu main likhain to maza dobala ho jaye ga.:phool:
                    Mind Sciences

                    Comment


                    • #11
                      Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                      Users is section main funny jokes post kar rahay hain.Kiya is ki ijazat hai ya kisi moderator ne tawajuh nahin di ab tak?
                      Mind Sciences

                      Comment


                      • #12
                        Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                        nice one

                        Comment


                        • #13
                          Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                          mate mare qaber sy chura raha hy koi
                          aj mar ky bhe yad ah raha hy koi
                          ay huda ik pal ur zendgi dy dy
                          ky mre qaber sy udas ja raha koi
                          Zahid hussain

                          Comment


                          • #14
                            Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                            Originally posted by Fatimah View Post
                            aslaam_u_alikam

                            Ahmed faraz ka yeh kalam mujhey behad pasand hey.
                            aap sab bhi baatiye ga keh aap ko kesaa lagtaa hey yeh kalaam


                            ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                            ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N
                            yaad kyaa tujh ko dilaaye.N teraa paimaa.N jaanaa.N

                            yuu.N hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
                            kis qadar jald badal jaate hai.n insaa.N jaanaa.N

                            zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
                            ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaa.N jaanaa.N

                            dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii
                            dil kii kyaa baat kare.n dil to hai naadaa.N jaanaa.N

                            avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
                            bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaa.N jaanaa.N

                            aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahii.n
                            rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaa.N jaanaa.N

                            muddato.n se ye aalam na tavaqqo na ummiid
                            dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaa.N jaanaa.N

                            ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
                            Gam-e-dauraa.N se judaa hai Gam-e-jaanaa.N jaanaa.N

                            ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraa.N jaanaa.N
                            sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaa.N jaanaa.N

                            har ko_ii apanii hii aavaaz se kaa.Np uThataa hai
                            har ko_ii apane hii saaye se hiraasaa.N jaanaa.N

                            jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai
                            shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaa.N jaanaa.N

                            ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal me.n aaye
                            aur se aur huaa dard kaa unvaa.N jaanaa.N

                            ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the
                            ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraa.N jaanaa.N

                            hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa
                            jaise u.Date huye auraaq-e-pareshaa.N jaanaa.N
                            Hum Bhi kia saada thay hum nay bhi samjh rakha tha
                            Ghum-e-duraan say juda hay , Ghuma-e-janaa janaan

                            Bohat hee achi ghazal Ahmed Faraz ki all time fav. Buhat shukriya...share kia aap nay!

                            Comment


                            • #15
                              Re: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N

                              Rone ko koi kandha ho tu is ghazal ka maza dobala balke seh bala ho jai

                              Comment

                              Working...
                              X