Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Phool aur Kanta..!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Phool aur Kanta..!!

    PhooloN ke daman main kanty ka kia kaam
    Kaanta baagh main phooloN ke darmian
    Un ki khushboo se mehak to sakta hay
    per kabhi us ki apni khushboo nahi hoti,
    Us ka kaam takleef dena hota hay
    Us se sirf sakht ahsasat mansoob hain
    Lekan waqt badalny laga
    kanty ki nook ka rang
    Phool k daman main reh reh kar
    surkh parny laga
    Kayi barishein, ratein, garmian, sardiaN
    Bohat se mosam,
    Kathan marahil,
    khushyaN
    gham
    phool aur kanty ne ikathay dekhy
    Kabhi sakht dhoop hoti to phool apni pattion
    ka saya
    Kanty pe kar deta
    Kanta us ki chaoN main mehak jata
    Kanty ki nook nazuk ho gayi
    Us se mansoob sakht ahsasat
    Narm goshoN main badalny lagy
    Kanta bohat khush tha.
    Woh apni dunya main itna magan ho gaya
    ke woh phooloN se muqabla karny laga
    per woh bhool gaya tha ke us ka maseeha
    wahi aik phool hay
    Lekan woh gulaabi phool
    apni khoobsurat pattiaN kho chuka tha
    Us ki pattiaN chalni ho gayi thin.
    Phool zakhmi tha aur kanta mehka hua
    Phirr aik din waqat ki beparwah
    aandhi aai
    ke kanty ne phool ki jaan le li
    phool dam torr chuka tha
    Woh nadhal ho ke
    Kanty per gira hua tha.
    Kanta bohat roya.
    Bohat roya.
    Phool ko kanty ki soch achi nahi lagi thi
    ke kanty se sakht ahsasat mansoob hote hain
    Us ne kanty ki nook ko to mehka dia
    Per us bhary gulshan main
    kanty ke kadmoN main apni jaan de di
    Kaanty ko phool se bichary aik muddat ho chuki
    Kaanta jis shakh per tha
    woh bhi sookh gayi
    waqt ki aik aur aandhi aayi
    aur us shakh ko darakht se alag kar dia
    aaj kanta usi gulshan ki dhool se att
    zameen pe para hay
    Us per dard ki barisheiN barsiN
    be reham waqt ke thaperay parey
    Aaj woh dhool matti se att
    apni qadr-o-keemat kho chuka hay
    Kaanty ka kasoor kya tha?
    Kia woh apni zaat se
    Sakht ahsasat ke mansoob honay
    ka jurmdaar tha?......



    End.
    Allah

  • #2
    Re: Phool aur Kanta..!!

    Bohut Khoob :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Phool aur Kanta..!!

      Kia koi meri is ziman main madad kar sakta hay?? Kia koi mere lye issay inpage ya unicode main likh sakta hay? aur yahan post kar sakta hay??


      Main ussay hamesha dua don ga :)
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: Phool aur Kanta..!!

        Originally posted by Yaaram View Post
        Kia koi meri is ziman main madad kar sakta hay?? Kia koi mere lye issay inpage ya unicode main likh sakta hay? aur yahan post kar sakta hay??


        Main ussay hamesha dua don ga :)
        Oh mere bhai kesi batain ker rehe hain.... Me abhi likh k aap ko PM ker deta hoo... :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: Phool aur Kanta..!!

          Originally posted by kutkutariyaan View Post
          Oh mere bhai kesi batain ker rehe hain.... Me abhi likh k aap ko PM ker deta hoo...
          JazakALLAH :)
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: Phool aur Kanta..!!

            :)
            is ko dekhtay hi main nay socha tha,... keh abhi isay uni code main convert kar kay post karti hoon... takay sab perhnay waloon kay liye asaani ho...:D
            Good work Kuku ... in advance.....:thmbup:
            nicely written yaaram...:)
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #7
              Re: Phool aur Kanta..!!

              Originally posted by *Rida* View Post
              is ko dekhtay hi main nay socha tha,... keh abhi isay uni code main convert kar kay post karti hoon... takay sab perhnay waloon kay liye asaani ho...
              Good work Kuku ... in advance.....
              Woh waqt acha tha jab main khud se inpage main achay se likh kar post kar dia karta tha. Per main bhool gaya inpage ka keuboard.
              Allah

              Comment


              • #8
                Re: Phool aur Kanta..!!

                Type in Urdu - Google Transliteration

                yahan aap roman likhain gay tu khud ba khud unicode main convert ho jai gaaa.....
                buht easy hai

                aur yeh mood ko kia ho gaya ....:(
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #9
                  Re: Phool aur Kanta..!!

                  Originally posted by *Rida* View Post
                  Type in Urdu - Google Transliteration

                  yahan aap roman likhain gay tu khud ba khud unicode main convert ho jai gaaa.....
                  buht easy hai

                  aur yeh mood ko kia ho gaya ....
                  Yeh link main ne check kia hay, kaam karta to hay, per hum issay accurate nahi keh saktey, apney ibtidayi marahil main hay. is ke lye aap ki roman writing khas kisam ki honi chhaye.


                  Mood dead hay aajkal :P
                  Allah

                  Comment


                  • #10
                    Re: Phool aur Kanta..!!

                    Originally posted by Yaaram View Post
                    JazakALLAH :)
                    I have sent u Inpage File :thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Phool aur Kanta..!!

                      Originally posted by kutkutariyaan View Post
                      I have sent u Inpage File
                      JazakALLAH kher bro :)
                      Allah

                      Comment


                      • #12
                        Re: Phool aur Kanta..!!

                        Originally posted by Yaaram View Post
                        JazakALLAH kher bro :)
                        To yahan post kerain na.... bohut pyari lage ge

                        Comment


                        • #13
                          Re: Phool aur Kanta..!!

                          bahot khoob yaraam dear bahot khoobsurat likha hai aap ne
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: Phool aur Kanta..!!

                            Originally posted by kutkutariyaan View Post
                            To yahan post kerain na.... bohut pyari lage ge
                            Aap ne jo file di thi wo corupt nikli :(
                            Allah

                            Comment


                            • #15
                              Re: Phool aur Kanta..!!

                              Originally posted by WASI ANJUM View Post
                              bahot khoob yaraam dear bahot khoobsurat likha hai aap ne
                              jazakALLAH bro :)
                              Allah

                              Comment

                              Working...
                              X