Puraani ghazal...saada si..zara lambi hai..ummeed hai pasand aayegi..:rose
bach ke sabhi ki nazroN se aa kar churaa mujhe
chupke se apne khaana-e-dil mein chhupaa mujhe
ghaflat meiN hoon agar kabhi,aa kar jagaa mujhe
dunyaa ki rasm-o-raah se kar aashnaa mujhe
aksar ye sochti hoon k kyaa ho gayaa mujhe
jo ho sake kabhi to dikhaa aa'inaa mujhe
madhosh kar gayi tiri kaafir adaa mujhe
baiThe biThaaye bin piye aaya nashaa mujhe
maiN hoon agar abas sa diyaa to bujhaa mujhe
warnaa baDe qareene se dar pe jalaa mujhe
ab tuu na de Khudaa ke liye aasraa mujhe
tay karna hai akele hi ye faaslaa mujhe
jisko bhi dekhiye vo kahe hai buraa mujhe
ab tak na ik bhi chaahne waala milaa mujhe
kin ghaltiyon ki mil rahi hai ab sazaa mujhe?
har pal kyoN de rahe haiN sabhee bad du'aa mujhe?!
pehle to karti hai khafa mujhko ye zindagii
phir muuNh phiraa kahe hai,ab tuu manaa mujhe!
soorat ke saath saath ye seerat badal gayi
shohrat ka kyaa asar hai pataa ab chalaa mujhe!
laaoN kahaaN se ab maiN wo pehlaa sa hauslaa
tuu ne to kar diyaa hai mujhee se judaa mujhe
bhaaree paRaa bahut ye mohabbat ka silsilaa
jaate hue woh de gaya phir gham nayaa mujhe
sheroN meiN dhaal kar jise,ghazleiN,likhaa kiye
woh aaj keh raha hai 'Sanam bewafaa!' mujhe
jab haal-e-dil sunaa chuke unko,WO keh uThe
'Yeh tou janab pehle se maloom thaa mujhe!'
dast-e-duaa uThaake Khuda se 'SHUMAA'ILAA'
maange duaa yahii k,"bas ab TUU bulaa mujhe!"
Comment