Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

saare ehsaas ko miTaa hee de

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • saare ehsaas ko miTaa hee de

    saare ehsaas ko miTaa hee de
    mere jazboN ko ab sulaa hee de

    Ya Khudaa! thak gayi huN ro ro kar
    mere ashkoN ko ab sukhaa hee de

    jhooT hargiz na bol paaongee
    mujhse mat keh ke tuu gawaahee de

    meri taqdeer mujhse rooThi hai
    mere haq meiN koii duaa hee de

    dhoondh laao kahiN se aisa shaqs
    jo wafaa ke ivaz wafaa hee de

    kuch to aasaan ho judaa honaa
    koi ilzaam tuu lagaa hee de

    mujhko taareekiyaaN azeez TheHriN
    in chaRaaGoN ko ab bujhaa hee de

    mujhse hotaa nahii dikhaawa koii
    zindagii sabr-o-hauslaa hee de

    kab talak ek raah chalti chaluN
    raastaa ab nayaa dikhaa hee de

    bewafaayee 'shumaa'ilah' uskii
    jaane anjaane dil dukhaa hee de

  • #2
    Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

    Originally posted by shummu View Post
    bewafaayee 'shumaa'ilah' uskii
    jaane anjaane dil dukhaa hee de
    buht achi lekhi hai.....
    khush rahein
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #3
      Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

      Khoobsoorat !

      Comment


      • #4
        Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

        nice


        Comment


        • #5
          Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

          Bahot Arse baad aap ki poetry perhne ko milli
          baht khoobsurat Ghazal likhi hai aap ne
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

            Originally posted by *Hala* View Post
            buht achi lekhi hai.....
            khush rahein
            Thanx hala jee:rose

            Comment


            • #7
              Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

              Originally posted by Gul View Post
              Khoobsoorat !

              shukriya sis:phool:

              Comment


              • #8
                Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

                Originally posted by life. View Post
                nice


                thanx :D:

                Comment


                • #9
                  Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

                  Originally posted by WASI ANJUM View Post
                  Bahot Arse baad aap ki poetry perhne ko milli
                  baht khoobsurat Ghazal likhi hai aap ne
                  Shukriya Wasi jee..han arse baad qalam uthaaya hai warna beehc mein likhna chorh diya tha :)

                  Comment


                  • #10
                    Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

                    dhoondh laao kahiN se aisa shaqs
                    jo wafaa ke ivaz wafaa hee de

                    kuch to aasaan ho judaa honaa
                    koi ilzaam tuu lagaa hee de

                    jhooT hargiz na bol paaongee
                    mujhse mat keh ke tuu gawaahee de


                    Zabar10 se bhi Bht zabardust Shummu G



                    Comment


                    • #11
                      Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

                      Originally posted by Mani16 View Post
                      dhoondh laao kahiN se aisa shaqs
                      jo wafaa ke ivaz wafaa hee de

                      kuch to aasaan ho judaa honaa
                      koi ilzaam tuu lagaa hee de

                      jhooT hargiz na bol paaongee
                      mujhse mat keh ke tuu gawaahee de


                      Zabar10 se bhi Bht zabardust Shummu G

                      Itni zabardast daad ke liye ek zabardast sa shukriya :D:

                      Comment


                      • #12
                        Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

                        Excellent shummu :thmbup:
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

                          Wah bohat khoob andaz-e-bayan, kafiyon ka milaap aur mujhay sab say acha laga apnay naam/laqab ka istimaal jo aap nay maqtay main kia, kisi izaafi laft ki zaroorat hi nahin rahi aur misra bhi bakhoobi poora hogaya, bohat achi soch aur bohat hi acha mayar-e-soch, kayi jazbaat ko bayan karti hoyee yeh ghazal waqayi dataan-e-dil ko bakhoobi bayan kar rahi hay... bohat achay isi tarhan apni achi tehreeron say humain mustafeed karti rahain, SHIKRIYA :)
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

                            Originally posted by Xai View Post
                            Excellent shummu :thmbup:
                            Thanx Xia :rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: saare ehsaas ko miTaa hee de

                              Originally posted by thefire1 View Post
                              Wah bohat khoob andaz-e-bayan, kafiyon ka milaap aur mujhay sab say acha laga apnay naam/laqab ka istimaal jo aap nay maqtay main kia, kisi izaafi laft ki zaroorat hi nahin rahi aur misra bhi bakhoobi poora hogaya, bohat achi soch aur bohat hi acha mayar-e-soch, kayi jazbaat ko bayan karti hoyee yeh ghazal waqayi dataan-e-dil ko bakhoobi bayan kar rahi hay... bohat achay isi tarhan apni achi tehreeron say humain mustafeed karti rahain, SHIKRIYA :)
                              bahut bahut shukriya..aapki daad sar aankhon pe :) Aap ki jaanib se daad paake baDi khushi hui...Thank u so very much :rose

                              Comment

                              Working...
                              X