Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

    Salaam ek nayi tarahi ghazal pesh-e-khidmat hai..ummeed hai aap ko pasand aayegi..aap ki aara ki muntazir :)

    mere apnoN ka mujhee se yuN khafaa ho jaanaa
    aur kia hoga mire Haq meiN buraa ho jaana

    kyaa yahii hota hai anjaam-e-wafaa ho jaanaa ?!
    'rote rote gham-e-furqat meiN fanaa ho jaanaa' ?!

    teri qasmoN,tire waadoN ka wafaa ho jaanaa
    jaise ik khwaab ka aankhoN se rihaa ho jaanaa

    is janam meiN na sahii duuje janam meiN milnaa
    tum agar mere na ho paana,judaa ho jaanaa

    yuN achaanak miri dunyaa meiN tiraa aa jaanaa
    jaise maangaa huaa qismat se ataa ho jaanaa

    ho na ho meri duaaoN ka asar hai jaanaaN
    abr-e-shaadaaN ka tiree chath pe ghanaa ho jaanaa

    Aye mire dushman-e-jaaN itna karam farmaanaa
    jaate jaate dil-e-bismil ki dawaa ho jaanaa

    baais-e-be kali ban jaaye na terii furqat
    khwaab meiN hee sahi tuu jalwa numaa ho jaanaa

    jab bhi niklooN maiN khule sar tiri yaadeN le ker
    dhoop meiN Gham kii tuu khushyoN ki ridaa ho jaanaa

    gar ye taqdeer nahii hai to bataa phir kyaa hai?
    mere haathoN ki lakeeroN ka likhaa ho jaanaa


    faqat,
    Shumaila
    Last edited by shummu; 29 December 2005, 12:34.

  • #2
    Re: ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

    mere apnoN ka mujhee se yuN khafaa ho jaanaa
    aur kia hoga mire Haq meiN buraa ho jaana


    :thmbup:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

      Shumaila ji Matlay say lay kar Maqtay tak har shair apni misaal aap hay..:masha bouhat umda shaaira hain aap.Allah aap ko mazeed nawazay.Aameen.:)
      :roseENIGMA:rose

      Comment


      • #4
        Re: ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

        Originally posted by Aanchal
        mere apnoN ka mujhee se yuN khafaa ho jaanaa
        aur kia hoga mire Haq meiN buraa ho jaana


        :thmbup:

        thanx dear :rose

        Comment


        • #5
          Re: ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

          Originally posted by hayaa_n
          Shumaila ji Matlay say lay kar Maqtay tak har shair apni misaal aap hay..:masha bouhat umda shaaira hain aap.Allah aap ko mazeed nawazay.Aameen.:)
          Shukriya HAYA sis ke aap ko mera likha pasand aaya..hausla afzaayi farmaane ka dil ki gehraaiyon se shukriya qubool farmaayein :rose


          Adaab,
          Shumaila

          Comment


          • #6
            Re: ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

            'rote rote gham-e-furqat meiN fanaa ho jaanaa' ?!
            kyaa yahii hota hai anjaam-e-wafaa ho jaanaa ?!

            Bohat zabardast!!! Shumaila yeh shair husn-e-adaeegi ki aik bohat aala misaal hai. Isko jaisey bhi aagey peechey karlo dono aetbaar sey sinaf-e-shairi ka behtareen namoona hai. I'll once in my oldie days tell my grand grand grand childs that I was honoured to comment Shummu ji shairi :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

              Originally posted by Masood
              'rote rote gham-e-furqat meiN fanaa ho jaanaa' ?!
              kyaa yahii hota hai anjaam-e-wafaa ho jaanaa ?!

              Bohat zabardast!!! Shumaila yeh shair husn-e-adaeegi ki aik bohat aala misaal hai. Isko jaisey bhi aagey peechey karlo dono aetbaar sey sinaf-e-shairi ka behtareen namoona hai. I'll once in my oldie days tell my grand grand grand childs that I was honoured to comment Shummu ji shairi :)

              omg Masood jee aap ne to humeiN sharminda hi kar diya......:embarasse qasam se itni zabardast taareef to kisi ne na ki hogi.....I'm really really honourned ..bahut bahut shukriyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aap ke khuloos bhare replies ka :rose

              Shumaila

              Comment


              • #8
                Re: ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

                Assalaam o alekum,


                awaaaaaay bahooot khoooob shummu raani bahoot hi zabardast kalaam likhaa tumnien poori ki poori ghazal hi lajawaab aur pukashish hai dheroon daad qabool karo khush rahoo :rose :rose :rose

                Aye mire dushman-e-jaaN itna karam farmaanaa
                jaate jaate dil-e-bismil ki dawaa ho jaanaa
                :tang: RISK IS MY BUSINESS

                DANGER IS MY GAME

                DONT PLAY WITH ME
                BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                Comment


                • #9
                  Re: ...ho jaanaa(nayi tarahi ghazal)

                  Bahut bahut shukriya khurram jeeeeeeeee aap ne ek baar phir dili daad se nawaaza aur meri hausla afzaayi farmaayi................. shukriya!!!!:rose


                  Shumaila

                  Comment

                  Working...
                  X