Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

    Salaam ahl-e-bazm apni ek puraani ghazal share karna chaahungi..ummeed hai aap sab ko pasand aayegi :rose


    bahut lagta hai Dar tere jahaaN se
    uThaa le Aye Khuda mujh ko yahaaN se

    nikal kar gardish-e-wehm-o-gumaaN se
    uTar aa tuu zameeN par aasmaaN se

    chupaa rakhaa hai jo ahl-e-jahaaN se
    kahiN zaahir na ho jaaye zubaaN se

    dhu'aaN saa uTh rahaa hai aashiyaaN se
    najaane kaun guzraa hai wahaaN se

    wafaa hee uTh gayee jab darmiyaaN se
    umeedeN kyaa rakh`ooN us mehrbaaN se?!

    takabbur mein sabhi doobe hue hain
    "nikal jaaye na kuch meri zubaaN se"

    na de takleef khud ko tuu khudaaraa!
    milega kuch nahi aah-o-fuGhaaN se

    Rafeeqo! ab na khelo is qadar tum
    miree barbaadiyoN kii daastaaN se!!!

    mire haathoN hi ujRaa hai gulistaaN
    mujhe shikwah naheeN kuch baaGhbaaN se!

    chalee kyooN rooTh ke umr-e-guraizaaN?!
    mirii to jung hai umr-e-rawaaN se!


    Shukriya,
    Shumaila
    Attached Files
    Last edited by shummu; 1 June 2008, 20:34.

  • #2
    Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

    Daad kay liye jin lafzon ki zaroorat hay woh mairay pass nahi...:masha aik aik shair apni misaal aap hay kownsa shair ziyada achcha hay batana mushkil hay.bouhat umda andaz-e-bayaa'n.:)
    :roseENIGMA:rose

    Comment


    • #3
      Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

      wonderful sharing......
      :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

      Comment


      • #4
        Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

        chupaa rakhaa hai jo ahl-e-jahaaN se
        kahiN zaahir na ho jaaye zubaaN se

        dhu'aaN saa uTh rahaa hai aashiyaaN se
        najaane kaun guzraa hai wahaaN se

        wafaa hee uTh gayee jab darmiyaaN se
        umeedeN kyaa rakh`ooN us mehrbaaN se?!



        Wow Bohat Zabardast
        keep sharing...
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment


        • #5
          Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

          Originally posted by hayaa_n
          Daad kay liye jin lafzon ki zaroorat hay woh mairay pass nahi...:masha aik aik shair apni misaal aap hay kownsa shair ziyada achcha hay batana mushkil hay.bouhat umda andaz-e-bayaa'n.:)
          Hayaa sis aap ki khuloos-e-dil se di gayi daad ka behad shukriya...it means a lot to me...thanx from the bottom of my heart! :rose :rose

          Khush rahein!!

          Shumaila

          Comment


          • #6
            Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

            Originally posted by rehman
            wonderful sharing......
            Thanx a lot!!! :rose

            Comment


            • #7
              Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

              W salaam,

              Shummu rani bahoot khoob bahoot zabardast likhaa hai tumnien tumhaari yeh ghazal baar baar perhnien ko jee chaahataa hai dher saari daad qabool karo aur yun humse apnien behtreen kalaam perhaati rahi waise ek baat kahoongaa ab tum ek majhi huee shaira nazer aanien lagi ho :) khush raho
              :tang: RISK IS MY BUSINESS

              DANGER IS MY GAME

              DONT PLAY WITH ME
              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

              Comment


              • #8
                Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

                Sab sey pehley to yeh kehna chahoon ga keh aap ney is mehfil mein apney kalaam sey jo ronaq bakhshi hai woh bohat haseen hai. Hamein fakher rahey ga keh aap yahan apna kalaam share karti hain. Bohat aala zoq paya hai aap ney.

                Originally posted by shummu
                bahut lagta hai Dar tere jahaaN se
                uThaa le Aye Khuda mujh ko yahaaN se
                Yehi to main kehna chah raha hoon - bohat safar kiya hai ab thakawat si mehsoos ho rahi hai, kahan kahan nahin loota jahan ney - aik aakhri umeed ki kiran baqi hai. Warna chal so chal :)

                Originally posted by shummu
                chupaa rakhaa hai jo ahl-e-jahaaN se
                kahiN zaahir na ho jaaye zubaaN se
                Bohat si batein hoti hai jo zubaan per aatey aatey rah jati hain, keh kisi ka bharam na toot jaey aur jab insaan ka bharam toot jata hai to kuchh baqi nahin bachta

                Originally posted by shummu
                wafaa hee uTh gayee jab darmiyaaN se
                umeedeN kyaa rakh`ooN us mehrbaaN se?!
                Yahan badla wafa ka hamesha bewafai ki surat mein mila hai, shayid yehi duniya ka dastoor hai, keh jis sey wafa karo wohi bewafa ban ker milta hai... wafa aik anqa ki manind hai, suna hai per dekha nahin!!


                Originally posted by shummu
                takabbur mein sabhi doobe hue hain
                "nikal jaaye na kuch meri zubaaN se"
                Main to bol parrta hoon :lol mera qalam to kabhi khamosh nahin rehta aur takabbur karney walon ka anjaam bhi bura hi hota hai na.

                Originally posted by shummu
                na de takleef khud ko tuu khudaaraa!
                milega kuch nahi aah-o-fuGhaaN se
                Ro ro key bechara chup kar jaey ga, dukh sah sah kar dheet ho jaey ga, sitam sah sah kar is qadar zakhmi ho jaey ga keh phir mazeed zakhmon key liye jaggah nahin ho gi.

                Originally posted by shummu
                Rafeeqo! ab na khelo is qadar tum
                miree barbaadiyoN kii daastaaN se!!!
                lekin log kahan parwa kartey hain? lootey huwoun ko mazeed loot'tey hain, bikhrey huwoun ko mazeed bikhertey hain, tootey huwoun ko mazeed torrtey hain - that's life :)

                Originally posted by shummu
                mire haathoN hi ujRaa hai gulistaaN
                mujhe shikwah naheeN kuch baaGhbaaN se!
                Shikwa na kar gila na kar!!!
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

                  Originally posted by Aania
                  chupaa rakhaa hai jo ahl-e-jahaaN se
                  kahiN zaahir na ho jaaye zubaaN se

                  dhu'aaN saa uTh rahaa hai aashiyaaN se
                  najaane kaun guzraa hai wahaaN se

                  wafaa hee uTh gayee jab darmiyaaN se
                  umeedeN kyaa rakh`ooN us mehrbaaN se?!


                  Wow Bohat Zabardast
                  keep sharing...


                  Thanx a lot Aania :rose :rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

                    Bohat umdah alfaz ke sath aap ka kalam parha......bohat acha laga...daad wasol karein
                    Keep writing :)
                    Allah

                    Comment


                    • #11
                      Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

                      Originally posted by khurram_shaikh
                      W salaam,

                      Shummu rani bahoot khoob bahoot zabardast likhaa hai tumnien tumhaari yeh ghazal baar baar perhnien ko jee chaahataa hai dher saari daad qabool karo aur yun humse apnien behtreen kalaam perhaati rahi waise ek baat kahoongaa ab tum ek majhi huee shaira nazer aanien lagi ho :) khush raho
                      Bahut bahut shukriya Khurram jee..aap ne itne pyaare alfaaz mein na sirf meir ghazal ko saraaha balki meri bahut hausla afzaayi bhi farmaayi jis ke liye main aap ki saraapa mamnoon-o-mutashakkir hoon :rose

                      Shumaila

                      Comment


                      • #12
                        Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

                        Salaam-o-Adaab maqsood sahab....jis darya dili se aap ne mere kalaam ko apni daad se nawaaza hai aur qadam qadam pe meri hausla afzaayi farmaayi hai uske liye main jitna bhi aap ka shukriya adaa karoon kam hi hoga.......aap ne sher ba sher tabsira farmaaya parhkar achcha laga....samajh lijiye meri mehnat wusool ho gayi..jab koi qaari aap ke kalaam ko itne dil se mehsoos karke paRhe aur apne taasuraat raqam kare to is qadar khushi milti hai iska to aap ko bhi andaaza hoga kyonki aap khud ek likhaari hain :)

                        is ghazal ko bhi apni qeemti raaye se nawaazne ke liye main bahut bahut mamnoon hoon aapki !!


                        Shukria....
                        Shumaila

                        Comment


                        • #13
                          Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

                          Originally posted by Adnan
                          Bohat umdah alfaz ke sath aap ka kalam parha......bohat acha laga...daad wasol karein
                          Keep writing :)
                          Shukriya Adnan jee tah-e-dil se naacheez ke kalaam ko saraahne ke liye :rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

                            sub tareefe kur rahe he...
                            mein bhi kur deta ho..

                            buhat khub :P

                            Comment


                            • #15
                              Re: bahut lagta hai Dar tere jahaaN se

                              Originally posted by MSA View Post
                              sub tareefe kur rahe he...
                              mein bhi kur deta ho..

                              buhat khub :P
                              badi meherbaani huzoor :salam:

                              Comment

                              Working...
                              X