Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

    Salam bahut din baad ek nayi ghazal pesh hai khudmat hai ek tarahi misre pe..ummeed hai aap ko pasand aayegi..shukriya :)

    woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN
    ab sochte hain kaun paRe is wabaal meiN

    usne jhiRak diya mujhe kyoN ishte'aal meiN?
    pinhaaN tha koi naam kya mere sawaal meiN?!

    ab kya micaal deiN bhalaa unke shabaab ki
    'Gum ho gayyii hai un ki tajalli jamal maiN '

    ban ke sapole unki har ik baat..kyaa kareiN
    dasne lagi hai hum ko to khwaab-o-khayaal meiN

    uske khatoN ke saath bahaa Daali maine aaj
    ik din jo dee thi usne nishaanii rumaal meiN

    woh eik chhed jo na tha zaahir kabhii bahut
    paiwand jab laga hua waazeh wo shaal meiN!

    barwaqt bakht ne mujhe aa kar bachaa liyaa
    aa hii gayii thi warna lakeeroN ki chaal meiN!

    maana ke tajribe ki alaamat hai ye magar
    miltii hai ab kahaan woh safedii hi baal meiN!
    (yahan tanz hair color/dyes pe hai!)

    dete jo bad du'aa the kabhii, khud hee ro paRe
    kyoN aaj dekhkar mujhe shoreeda haal meiN?!

    maazii ki GhaltiyaaN mujhe bezaar kar gayiN
    lagtaa hai umr yuN hi kaTegii malaal meiN

    kehne ko hoshiyaar bahut hum bhi the magar
    dushman ne ban ke dost phaNsaaya tha jaal meiN

    yuN hee woh meHrbaaN nahi tum par 'shumaa'ilah'
    kuch kuch lage hai mujh ko keh kaala hai daal meiN!

    Aap sab ki aara ki muntazir,
    Shumaila
    Attached Files
    Last edited by shummu; 12 November 2006, 20:07.

  • #2
    Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

    ham ney no parhi Shumaila ki ghazal Pegham mein
    sochtey hain kaun na aaey ab lafzon key daam mein
    is qadar to nasha nahin kisi puraney sey jaam mein
    jitna hai saroor Masood, Shummu key kalaam mein
    aik ik shair mein hai be'sakhtgi, rawangi, taazgi
    itni dilkashi ho gi aur kis key kalaam mein

    Shummu aik baar phir main aap ki taaza ghazal perh kar mutasir huwey bghair nahin rah saka :) Meri dua hai keh tumhari soch ki yeh zarkhaizi qayim-o-dayim rahey - khush raho :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

      wah bohat khoob v nice shomoo

      Comment

      • #4
        Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

        Originally posted by Masood View Post

        Bahut bahut shukriya Masood ke aapne is qadar khoobsurat alfaaz mein meri adna si koshish ko saraaha ..waqaii bada hauslaa mila hai kyoNki is ghazal ko likhne mein baDi dushwaari pesh aayi mujhe...aapne pasand ki..mehnat wusool hui...shukriya tah-e-dil se :rose

        Comment

        • #5
          Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

          Buhat Khoob Shuma'ila jee Kia acha kaha sapecially aakhri sher :)

          Comment

          • #6
            Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

            Originally posted by <<Muqadas>> View Post
            wah bohat khoob v nice shomoo
            Shukriya bahut bahut Muqaddas jee :rose

            Comment

            • #7
              Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

              Originally posted by Gul View Post
              Buhat Khoob Shuma'ila jee Kia acha kaha sapecially aakhri sher :)
              bahut nawaazish GUL jee :rose

              Comment

              • #8
                Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

                great humesha ki taraha :thmbup:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #9
                  Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

                  Thanx aanchal dear :rose

                  Comment

                  • #10
                    Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

                    maine urdu version bhi attach kar diya hai un logon ke liye jinhe roman paRhne meiN dushwaari pesh aati hai....

                    Comment

                    • #11
                      Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

                      Shummu chanda bohat umdah likhti ho tum - keep it up :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

                        :rose thanx again Masood jee :rose
                        Last edited by shummu; 21 November 2006, 13:34.

                        Comment

                        • #13
                          Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

                          Shumaila Sahiba

                          Aap ki baaqi ghazloN kay muqablay maiN kuch kamazor lag rehi hay

                          sher 5-7 khasusan nazr e saani kay mustehiq lag rehay haiN

                          Comment

                          • #14
                            Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

                            jee sohail jee asl mein bahut jaldi mein ye ghazal kahi thi isliye ye itni polished nahi hai... waise bhi sab kalaam ek hi meyaar ke kahan ho paate hain..kabhi kabhi behr mushkil ho to acche sher kehne mein bhi dushwari hoti hai...haina?Khair apni baaqi ghazlon pe bhi aap ki raaye ka intizaar rahega...bazm mein aate rahiyega aur hum jaison ki rehnumaayi farmaate rahiyega taakeh hum bhi kuch dhang ka likhne lagein..shukriya :)

                            Comment

                            • #15
                              Re: woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN (Taaza Ghazal)

                              pegham ki aik bht achi shaira...
                              aik bht achi user pta nhi kahan chali gaee :(
                              bht achhi ghazal hy.....
                              AAP JAHAN BHI HON ALLAH PAK AAPKO KHUSH RAKHE aameen

                              Comment

                              Working...
                              X