Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

    Salam ahl-e-bazm..chuttiyon pe gayi hui thi isliye yahan aana na ho paaya tha magar ab wapis aayi hoon to kaise khaali haath aati..isliye nayi na sahi ek puraani ghazal hi aap sab ki nazr kar rahi hoon..ummeed hai aap ko pasand aayegi aur apni aara se nawaazenge hamesha ki tarah :rose

    bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii
    laboN par yeh banaawat kii haNsii achchii nahii lagtii

    kabhii to khoob lagtii thii magar ye sochtii hoon ab
    ke mujhko kyoN merii ye zindagii achchii nahii lagtii?!

    tirii maujoodagii meiN to mujhe har baat bhaati thi
    'terii furqat meiN koii baat bhii achchii nahii lagtii'

    ko'ii to saaz chheRe, ko'ii to naGhma idhar gooNje!
    bharii mehfil meiN itnii khaam'shii achchii nahii lagtii

    kabhii hum bhii huaa karte the baadaakash magar jab se
    tujhe dekha hai tab se maikashii achchii nahii lagtii

    zara tuu paas aa,maiN poNchh doon ashkoN ko pallu se
    tirii maasoom aankhoN meiN namii achchii nahii lagtii

    miree aaNkhoN ne jab se jeena seekhaa hai aNdheroN meiN
    kisii bhii qism kii ho raushnii,achchii nahii lagtii

    mujhe har gaam pe dukh,dard,ranj-o-gham mile lekin
    khudaaya aur ab uftaadgii achchii nahii lagtii!

    na de har vaqt tuu dastak mire darvaaza-e-dil par!
    k ab mujh ko yeh "tarz-e-dil-lagii" achchhi naheeN lagtii

    agar tum chaah sakte ho,to dil se chaaho mujhko tum
    mohabbat meiN merii jaaN bedilii achchii nahii lagtii

    jhijhakte kyon ho kehne se?HumeiN maaloom hai sab kuch!
    k tum ko ab HAMAARI dostii achchhi naheeN lagtii!
    faqat,
    Shumaila

  • #2
    Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

    poore ghazal bohot he zabardast likhe hai....kafi ache shaira hai...
    sigpic


    Comment


    • #3
      Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

      Originally posted by Wafa View Post
      poore ghazal bohot he zabardast likhe hai....kafi ache shaira hai...
      Thank u so much Wafa :)

      Comment


      • #4
        Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

        nice...
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • #5
          Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

          sare ashaar hi bohat pasand aaye lekan is sher ki kya hi baat hay
          ko'ii to saaz chheRe, ko'ii to naGhma idhar gooNje!
          bharii mehfil meiN itnii khaam'shii achchii nahii lagtii
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

            Originally posted by Lexicon View Post
            nice...
            thanx..! :)

            Comment


            • #7
              Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

              Originally posted by shummu View Post


              ko'ii to saaz chheRe, ko'ii to naGhma idhar gooNje!
              bharii mehfil meiN itnii khaam'shii achchii nahii lagtii

              na de har vaqt tuu dastak mire darvaaza-e-dil par!
              k ab mujh ko yeh "tarz-e-dil-lagii" achchhi naheeN lagtii

              agar tum chaah sakte ho,to dil se chaaho mujhko tum
              mohabbat meiN merii jaaN bedilii achchii nahii lagtii
              ye shr hamein sab se ziyada achhay lagay:)

              is ghzal ka her lafz apni zuban aap bolta hay ....boht umdah ghazal hai ...:rose :rose
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

                Originally posted by Eshaa_wellwisher View Post
                ye shr hamein sab se ziyada achhay lagay:)

                is ghzal ka her lafz apni zuban aap bolta hay ....boht umdah ghazal hai ...:rose :rose
                shukriya tah-e-dil se Eshaa jee :)

                Comment


                • #9
                  Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

                  what........................ a fantastic job..............great
                  Har-Fun-Moula

                  Comment


                  • #10
                    Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

                    Originally posted by Hamsafar View Post
                    what........................ a fantastic job..............great
                    Thank ...you.....soooooooooooo...much :salam:

                    Comment


                    • #11
                      Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

                      :clap: Wah kiya baat ha.....bohat khoob shummu jee:wk

                      Comment


                      • #12
                        Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

                        shukrya fari jee:-)

                        Comment


                        • #13
                          Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

                          Originally posted by shummu
                          bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii
                          laboN par yeh banaawat kii haNsii achchii nahii lagtii
                          Insaan ki har hansi har khushi ander sey wabasta hoti hai, jab ander hi karb ho to hansi kaisi? khushi kaisi? - Agar ander insaan toot jaey aur honto per hansi dikhata rahey to woh banawati hi lagti hai, Shumaila koi tareef nahin, lekin bohat umdah!
                          Originally posted by shummu
                          kabhii to khoob lagtii thii magar ye sochtii hoon ab
                          ke mujhko kyoN merii ye zindagii achchii nahii lagtii?!
                          Haan kabhi zindagi har talkhi, har imtihaan har aazmaish mein achhi lagti hai - har sitam bardasht hota keh saath mein woh hain, magar jab wohi na rahey to zindagi bhi azzab hai.
                          Originally posted by shummu
                          tirii maujoodagii meiN to mujhe har baat bhaati thi
                          'terii furqat meiN koii baat bhii achchii nahii lagtii'
                          Unka hi tasswwar hai mehfil ho ya tanhaii - jab wohi nahin to kya koi shay bhaey gi...aik aur shair bohat aala meyaar ka shummu...

                          Originally posted by shummu
                          ko'ii to saaz chheRe, ko'ii to naGhma idhar gooNje!
                          bharii mehfil meiN itnii khaam'shii achchii nahii lagtii
                          Patah hai shummu udasi bahir nahin hoti hai, udasi siraf insaan key ander hoti hai. Aur insaani ki udasi is liye hoti hai keh woh ander sey toot chuka hota hai - aaj is baat ka ehsaas bohat hi shiddat sey hai keh tanhaii kya hoti hai....

                          Originally posted by shummu
                          kabhii hum bhii huaa karte the baadaakash magar jab se
                          tujhe dekha hai tab se maikashii achchii nahii lagtii
                          kabhi is ghar mein woh ronaq thi keh har koi is mein basney ki koshish karta tha, jab sey woh gaey hain har janib aik udaaaaaaaaaaaaaaaasi hai...

                          Originally posted by shummu
                          zara tuu paas aa,maiN poNchh doon ashkoN ko pallu se
                          tirii maasoom aankhoN meiN namii achchii nahii lagtii
                          ... aur jab askh hi naseeb hon shummu to woh kaisey poochhein jaein? Palu gela ho jaey to phir kabhi aansu nahin poonchh sakta. Ashk naseeb hon to koi unhein poonchh nahin sakta, balkey janey waley to mazeed ashk dey jatey hain - yeh shair is meyaar ka hai keh merey paas alfaaz nahin keh kaisey in ki tareef karoon. Is shair ney dil key taar chheerr diyey hain. Shummu aap dil key ehsaas ki tarajumani karti ho.
                          Originally posted by shummu
                          miree aaNkhoN ne jab se jeena seekhaa hai aNdheroN meiN
                          kisii bhii qism kii ho raushnii,achchii nahii lagtii
                          Aisa hi mehsoos hota hai jab insaan ko andherey hi nazar aaein to woh kisi tor chain nahin paata, har taraf ussey andhera nazar aata hai aur jab kahin sey koi roshni ki kiran nazar bhi aa jaey to saraab lagti hai - shummu bohat khoob!
                          Originally posted by shummu
                          mujhe har gaam pe dukh,dard,ranj-o-gham mile lekin
                          khudaaya aur ab uftaadgii achchii nahii lagtii!
                          Excellent.
                          Originally posted by shummu
                          na de har vaqt tuu dastak mire darvaaza-e-dil par!
                          k ab mujh ko yeh "tarz-e-dil-lagii" achchhi naheeN lagtii
                          Waaaaaaaaaah kya baat hai Shummu - kya baat hai. Ab to shayid sacha pyar bhi yehi lagi jaisey dillagi thi.
                          Originally posted by shummu
                          agar tum chaah sakte ho,to dil se chaaho mujhko tum
                          mohabbat meiN merii jaaN bedilii achchii nahii lagtii
                          :) is ko kaun samjhey ga? shayid koi nahin. Magar yeh woh haqeeqat hai jo pyar ko ruswaa karti hai. Pyar bedili sey nahin hota balkeh pyar key liye to bohat bada dil chahey hota hai bohat bada ...
                          Originally posted by shummu
                          jhijhakte kyon ho kehne se?HumeiN maaloom hai sab kuch!
                          k tum ko ab HAMAARI dostii achchhi naheeN lagtii!
                          haan ab kah kyun nahin detey keh tum meri kashti per bojh ho - utar ker phaink kyun nahin detey takeh ik aur muhabbat ka afsana ban jaey.
                          Shummu tum bohat azeem shairi karti ho - Allah Tala tumhein bohat zahanat sey nawaza hai. Jeeti raho
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii


                            :clap:

                            Comment


                            • #15
                              Re: bichaR kar aap se humko,khushii achchii nahii lagtii

                              Originally posted by wareesha View Post

                              :clap:
                              shukriya:)

                              Comment

                              Working...
                              X