In ashkon k machaltay sakht toofaa'n se,Faqat ladnay ki bas tum ko ijazat hai. Sanam tum ko ijazat hai....Meray mann k iss ujday say bayaba'n main,Gulo'n ko phir khilanay ki,Faqat tum ko ijazat hai...K apni khwaab raato'n main,Meray sapnay sajanay ki,Meri neendain churanay ki,Ya phir shehr-e-tamanna main,Adhori aarzoo ki ....Koi unmid yaad bunnay ki..Faqat tum ko ijazat hai,K jab bhi khwahisho'n ka koi raila,Tumhary iss khudi aur iss ana ko,Baha k phir meri aankhon main lay aaye,Ya phir....Sawan ki koi ik jhadi ban kar...Meray sookhay huay mann main...Baras kar saaz ban jaye,Tou phir itny guzarish hai...K tum waapis nahin jana,Meri inn ankhon main ya ...Iss dil main kahin tum...Phir apni yaad k is ghar main reh laina,Magar waapis nahin jana,K bin teray kahin ankhain ye meri,In ashko'n k samandar main...Kahin nah gharq hojayen.Ye mera dil...Jo barson say...Tumhary aas k badal ki khwahish main...Adhoori aarzoo ki dhoop sehta hai...Kahin banjar na hojaye,Tou bas tum ko ijazat hai...K jab bhi lautna chaho...Tou phir...Meri ankhon main ya...Iss dil main kahin bhi...Jo ik pyaara sa ghar hai...Usi main aa k reh jana,Magar waapis nahin jana,Tou bas phir laut anay ki,Kahin waapis na janay ki,Sanam tum ko ijazat hai...Faqat tum ko ijazat hai!!!
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
In ashkon k machaltay sakht toofaa'n se,Faqat ladnay ki bas tum ko ijazat hai.
Collapse
X
-
Re: In ashkon k machaltay sakht toofaa'n se,Faqat ladnay ki bas tum ko ijazat hai.
Assalaam-O-Alaikum
Wah bohat hi khoobsurat alfaaz main aap nay dili ehsaas aur jazbaat ko bayan kia hay, jiss main intizaar, arzoo, chahat, khuwaab mehaz har woh rang shaamil hay jiss main aik mohabbat bharay dil ki pasdaari hoti hay, maza aagaya, waqayi itnay achay alfaaz per likhi gayi yeh tehreer qabil-e-tehseen hay, isi tarah apnay qalm say jalwagar hoti rahyeh, khush rahyehsigpic
Comment
Comment