Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Hain khwaab saaray raastay***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ***Hain khwaab saaray raastay***

    ***Hain khwaab saaray raastay***
    Muhabbato'n k darmiyaa'n...
    Hain khwaab saaray raastay,
    Saraab saaray raastay,
    Azaaab saaray raastay,
    Chalay thay jab safar pay hum..
    Baday hi khush gumaan thay,
    Baday hi shaadmaan thay,
    Kia chaah ka khumaar tha,
    Har aik pal bahaar tha,
    Ajab nasha sawaar tha,
    Kisi ka bas khayal tha,
    Ye mann k y...
    oun nihaal tha,
    Bichadna bhi muhaal tha,
    Magar .........
    Humain khabar na thi,
    Hian kitnay khaar raah main,
    Kaii pahaar raah main,
    Bada kathin safar hai yeh,
    Suhaab bin safar hai yeh,
    Taveeel dopeher hai yeh,
    Kadi tamam dhoop hai,
    Na chaoo'n jaisa roop hai,
    Phir aaye ga beher yahan,
    Jo aansuon se hai rawaa'n,
    Judaiiyon ki raat hai,
    Na chain na sabaat hai,
    Tabah bass hayaat hai,
    Khizaa'n bhari rutain hain sab,
    Pahaar din.......k jaisay shabb,
    Khabar nahin milay thay kabb,
    Youn chaaye ghum k saaye phir,
    Khushi kay pal ganwaye phir,

    Jo ashk youn bahaye phir,
    K lab pay bas duaain thin,
    Na yaaar ki wafaain thin,
    Na pyaar ki sadayen thin,
    Khatayen hi khatyen thin,
    Bas hijr ki ridaayen thin,
    Talab thi..jis ki pyaas thi,
    Milan kay jiss ki aas thi,
    Wo chaah kho gai kahin,
    Wo raah kho gai kahin,
    Abb ashk aankh se rawa'n,
    Hain khw...
    aab sab dhua'n dhua'n,
    Bhatak rahay hain hum kahan,
    Judaiya'n hain darmiya'n,
    Youn ho gaye hain bay-amaa'n,
    Kay lag raha hai abb yahan,
    Akelay mar hi jayen gay,
    Wo sath jo nahin hai ab..
    Tou uss ko kese payen gay,
    kahan se uss ko laayen gay,
    Youn hum tou jee na paayen gay,
    Akele mar hi jaayen gay,
    Youn ho chuka hai faisla....
    Muhabbato'n k darmiya'n,
    Saraab saaray raastay,
    Azaab saaray raastay,
    Hain khwaab saaray raastay.
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: ***Hain khwaab saaray raastay***

    kamla hai yeh to

    wah wah buth he khoobsoorat janab buth umda poetry
    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

    Comment


    • #3
      Re: ***Hain khwaab saaray raastay***

      Bahoot khoobsurat...........

      Comment


      • #4
        Re: ***Hain khwaab saaray raastay***

        Pata Nahin Kion Mujhay Poetry Roman Main Parhan Bohat Mushkil Lagta hay Or 1 2 misray hir parh kar 123 Hojata Hon:( Sorrey
        :star1:

        Comment


        • #5
          Re: ***Hain khwaab saaray raastay***

          Assalaam-O-Alaikum

          Kia baat hay bohat hi khoobsurat shayeri hay bohat hi khoobsurat andaaz main nihayat sehal alfaaz main aap nay roudad-e-zindagi aur dastaan-e-ishq bayan ki hay, iss main azaab hain, khuwaab hain, saraab hain, gham hay, dua hay, jaza hay, wafa hay, sila hay, gumaan hay, khumaar hay, bahaaar hay, rat jagay hain, judai hay, sadayain hain, wafayain hain, aahain hain.... mehaz MOHABBAT ka har woh rang hay jo aik mohabbat karnay wala apnay dil main mehsoos karta hay aur woh ehsaas alfaaz ki shakal main manzr-e-aam aata hay tou koi bhi mohabbat ki shiddat say inkaar nahin kar sakta.

          Isi tarah likthi rahyeh aur hum sab say share karti rahyeh, khush rahyeh,

          FI Amaan ALLAH
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: ***Hain khwaab saaray raastay***

            kia khoob likha hai our such likha hai

            Comment

            Working...
            X