Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sab ki tarah badalNa nahiN jante hum

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sab ki tarah badalNa nahiN jante hum

    sab ki tarah badalNa nahiN jante hum
    har rishte ko tahe dil se Nibhate hum

    yaad aate hain jo hume tanhaiyoN meiN
    Kyon unko dekh kar nazaar jhukate hum

    kyoN nahi samajhte woh mere dilki baat ko
    har bar begunah hoke bhi sazaa bhugte hum

    log kahte hain ki bhoola do usse "SHEHZADI"
    gar woh gurza waqt hote to bhoola dete hum "




    raat ke aanchal par chand ki judmagahat hai
    darwaze par tere aane ki halki si aahat hai

    jazbon ki roshni to numayian hai aankhon main
    aur har lafz mein lippti muhabat ki lagawat hai

    aankhon mein rang chahat ke jhalakte hain lekin
    usske ke lehje mein ajab si phir kyon banavat hai

    rishton ke rang ab pheeke se padne lage shayed
    nok e zuban per phir se dard ki kadwahat hai

    nami nami si utri huyi lagti hai sitara aankhon main
    pheeki pheeki si "shehzadi"kis liye teri muskurahat hai
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: sab ki tarah badalNa nahiN jante hum

    Bohhatt aalla janab
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment


    • #3
      Re: sab ki tarah badalNa nahiN jante hum

      bohot achi kawish hai, :rose
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      Working...
      X