Dard kii shamma raat bhar jali ho jaise
Gham ki lau dil me thartharati rahi ho jaise
teri ashQ bhari aankheiN keh rahii hai
umr e kotaah zamanoN meiN kati ho jaise
ek muddat se khamosh hai zubaan teri
jhoot ke honth meiN sachai chhupi ho jaise
patjhad meiN ojhal hue pattoN ki tarah
tere dil mei.N meri ulfat ki kami ho jaise
aah dam torti jaati hai teri har dharkan
koyi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise
udaas sham ki dahliz per sar jhukaa ker
dar e yaar per nigah terii thami ho jaise
mahekti hai yeh hawaa bhi kuchh aise
teri khusboo in fizaooN me ghuli ho jaise
apnaa hee sayaa dekh kar mehsush huaa
Zindagi bhar tu mere saath rahi ho jaise
dafan seeney meiN hai kai raaz "SHEHZADI"
aaj bhi har jazbaat per barf jami ho jaise

Comment