Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

jazbaat mar gaye ,aankhen bhi bujh gayin

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • jazbaat mar gaye ,aankhen bhi bujh gayin

    kehna para ke unn se muhabbat na thi humen
    aesa na tha ke unn ki zaroorat na thi humen

    ehsaas unn ka hota raha unn ke baad bhi
    hairaan hain ke aesi to chahat na thi humen

    jazbaat mar gaye ,aankhen bhi bujh gayin
    woh shaks ek jahaan tha, surat na thi humen

    bahut masroof rehte hain tanhai ke dar se
    Umeed iss se pehle yeh haajat na thi humen

    woh wapis lout hi ataa agar uss ko sdaa dete
    par pyar main jeene ki aadat na thi humen

    judaai ne bana dala deewana aur bhi dil ko
    wehshat yeh izteraab yeh ulfat na thi humen

    unn ke bagair jee na paye aik pal bhi hum
    aesi to unn ke pyar ki aadat na thi humen

    yaadon main kaat'ti rahi raat din Sahar
    pehle to yaad e yaar jannat na thi humen

    youn dil-lagi pe maail tabiat na thi humen
    Lazzat nahin thi pehle yeh nisbat na thi humen

    Naya nahi hai yeh aalam e pareshani
    Barso se dekh rahi hun yahi kahaani

    Sukoon ki kuch pal jee nahi saktii
    Be-sukoon badi hai meri zindagani

    Zameen se judey insaan hain,hum per
    girtii hain aksar, museebaat e aasmaani

    Karobaari duniya mein kaam na aaya
    Dil mein rakha tha ek, jazba e ruhaani

    Ghazal nahi koi talkh tajurbaa hai
    Sun rahe hi jisey tum meri zubaani


    Hai kis meharbaan ki ye meharbaani ..

    jab kabhi kar jaate ho hairaan- muhabbat main
    sabhi vaada e wafaa jooth lagte hain

    kiya badalengi hawaain bhi apna rasta
    tere fasaane jis tarah apna rukh badlte hain

    kitne aasan the hum unke liye ab tak
    jo dil o jazbaat khilouna samaz bahalte rahe

    afsos! na ban payee main tumhari tarah
    sang dil bhi hun par jazbaat pighlate rahe

    ek baar hi mein toot jataa ghamo ka pahaad
    ye bhi pathar hai jo girte hain, kabhi sambhalte hain

    tere saath rukhsat ho chuki khwahishen bhi sabhi
    baaki armaan o ummiden akhiri saans lete sisakte rahe

    hum bhi thhaane huae hai zid aur chalne ki
    raah e muhabbat mein pair jalte hai jo jalte rahe

    bahot hi gul aise iss chaman mein ''SHEHZADI''
    kuch ko bhawaren to kuch ko sirf kaaten hi to milte hain..
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: jazbaat mar gaye ,aankhen bhi bujh gayin

    waah very nice jnab
    Tum Agar Bhool bhi jaao tu Ye Haq hay Tumko
    Meri Baat Or hay Mainay Tu Muhubbat ki hay ... !

    Comment


    • #3
      Re: jazbaat mar gaye ,aankhen bhi bujh gayin

      bahot khoob shehzadi hamesha ki tarah zabrdast poetry
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: jazbaat mar gaye ,aankhen bhi bujh gayin

        Really nice sharing
        Thanks

        Comment

        Working...
        X