Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

jisney meri hansi le li thi..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • jisney meri hansi le li thi..

    KAUN KISSE DIL MEIN JAGAH DETA HAI
    PED BI AAKHIR SUKHE PATTE
    GIRA DETA HAI
    WAAKIF HAI HUM DUNIYA
    KE RIWAAZO SE
    MATLAB NIKAL JAAYE TO
    INSAAN INSAAN KO THUKRA DETA HAI
    PYAAR KI KOI AhMIYAT NA RAHI AB
    MAUT SE BHI BATTAR SAZA DETA HAI
    KITABON MEIN HI REH GAYE AB
    AITABAR KE SAARE KISSE
    JISKO NAZAR MEIN BASAYA WOHI
    NAZAR SE GIRA DETA HAI
    GAIRON SE KYA SHIKWA KAREN AB ''SHEHZADI''
    JAB APNA HI KOI APNE KO DAGA DETA HAI .

    iss duniya se roothe se kuchh
    hum kagaz kagaz behte log

    Koi gila kisi se raha nahi
    hum sab kuchh dil me sehte log


    kya rusvaai kya majboori
    hum aage gaon me rehte log

    har dard pe jhoom ke ek gazal
    hum roz yahan pe kehte log

    na dard koi na khushi koi
    hum apni dhun me rehte log .

    jis roz tujhko aawaz di thi
    aur tooney sunkar bhi ansuni ki thi
    bhool nahi paaongi vo din
    jis din tumney meri hansi le li thi

    lakh manaya aur samjhaya
    tooney lekin vahi zidd ki thi
    hanskar chal diye thay tum
    aur meri vo hansi le li thi

    minnaton ka daur chalta raha
    kuch kah key, kuch na kah key
    teri anna thi shayad
    jisney meri hansi le li thi..

    apney mujhsey khafaa rahtey hain aajkal,
    aur kisi gair sey milney ki tabiyat nahin hoti,,

    khair mangtey ho ki jaan salamat rahey,
    yun jeeney bhar sey janab kheriyat nahin hoti,,

    pahchaan ankhon main euk jugnu see chamak dey,
    her ek sey meri bhi vakfiyat nahin hoti,,

    tujhko kya koi
    misaal pesh karoon,
    juban ki dil sey badi to hasiyat nahin hoti,,

    ashaaar tumsey hi seekhti hey 'MARIAM'
    kyun ajkal tumsey koi nasihat nahin hoti,,,,,,,,,,,

    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: jisney meri hansi le li thi..





    Na sukoon hay ghar mein na dasht mein
    Kuch ajeeb tarz kay jog hain

    Kabhi apna gham kabhi uss ka gham
    Ke hazar tarah kay sog hain

    Jo tabah karky bhi na talen
    Kai iss tarah kay bhi rog hain

    Kare chara saaz to
    kiya kare
    Ham udaas nasal kay log hain"
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: jisney meri hansi le li thi..

      Ap ne apne khobsorat lafzona ka hasar kar diya hae zra tareeqye se likhin to maza ata magar acha hae dil ki tarjomani karne ki koshis jaree rakhin,,,,,,,,,,
      kis ko mohabat khte hain hamin nahi malom;;;;;;;
      aik tamana hae jo dil se nahi nikaltee;;;;

      Comment


      • #4
        Re: jisney meri hansi le li thi..

        Bahot khoob shehzadi very nice poetry
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: jisney meri hansi le li thi..

          bhhuuttt achhiiiiiii haiiiiiiiiiiii
          sigpic
          Dill Nasheen ho
          ...
          Dill kasheen ho ...

          Comment


          • #6
            Re: jisney meri hansi le li thi..

            Really nice sharing
            Thanks

            Comment

            Working...
            X