Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hum palkein ashkon say dho leite hein

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hum palkein ashkon say dho leite hein

    Phool saare humein satane lage hain
    Bhawre chaman chaman gungunane lage hain

    Kya hogayi hai humein bhi muhabbat?
    Baat be baat hum muskurane lage hain

    Bethe bethe yunhi kho na jaayein kahin
    Chand taare humein yun lubhane lage hain

    Band palkon mein apni chhupaker tumhein
    Nazrein apni tumhi se churane lage hain

    Dil hai aabad teri yaadon se ab tak
    Bhulaane mein yun to zamane lage hain

    Phoolon pe shabnam ki katroon si jhilmil
    Meri palkon pe aansuu yun aane lage hain

    Har ek dil lubhati hain ulfat ki raah
    Khinche hum taraf unke hi jaane lage hain

    Chalo theher jaayein kuch pal ko hum bhi
    Parinde basere ko jaane lage hain..

    Haya humko aati hai izhar-e-gham se
    Rote rote tabhi muskurane lage hain ..
    DARD KE BEEJ DIL MEIN BO LEITE HEIN
    AUR PHIR SUNG YADON KE HO LEITE HEIN

    YAAD SAR E SHAM JUB AANE LAGTI HAY TO
    HUM PALKEIN ASHKON SAY DHO LEITE HEIN

    LOUTA DEITE HEIN PASS NAHI RAKHTE APNE
    HUM MUHABBAT MEIN UN SAY JO LEITE HEIN

    SAAHIL E DIL SAY WAFA KI SEEPIYAN CHUN KE
    HUM MUHABAT KE DHAGGE MEIN PIRO LEITE HEIN

    HAY APNA DIL EK SAMANDER KI TARAH ISSI LIYE
    ZINDAGI JO DEITI HAY ISS MEIN SAMO LEITE HEIN

    DARD JAB HAD SAY BADH JATA HAY'' MARIAM'' TO
    RAKH KE APNE ZANOO PAR SAR RO LEITE HEIN..




    SITARON NAY BHI HAIRAT SAY PALAK JHAPKI HAY
    JUB RAAT KI KHIDKI PAR CHAND NAY DASTAK DI HAY

    YAADON KE CHAMAKTE JUGNU BHI ROSHAN HUYE AUR
    RAAT KI RANI KI KHUSHBOO BHI MEHAK UTHI HAY

    AEY KHALISH E DIL THEHER ZARA SAANS TO LAY KE
    AAJ CHAND MEIN US KE CHEHRE KI JHALAK DIKHI HAY

    JAAG UTHA HAY DARD E HIJR BHI ANGDAYI LAY KAR
    SEHMI HUYI TERI YAAD DIL MEIN BILAK UTHI HAY

    YE KAAR E NAMUMKIN HAY KE USKO BHOOL JAAUN
    KE USKI MUHABAT TO MERI ROOH TALAK UTRI HAY

    YE SHAB E HIJR HUYI AB TA UMER PAR MUHEET ''SHEHZADI''
    ISSI LIYE TO SEHAR BHI AAJ SISAK SISAK UTRI HAY..
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: Hum palkein ashkon say dho leite hein

    unnko dekh ke kuch guzrey lamhey yaad aagaye
    lafzon ki woh tohin khagaz ke tukrey yaad aagaye


    chand lafz pyaar ke unke dil ko gawara na hua
    woh kiss tarah hum se rooothey yaad aagaye


    na ki thi kuch khataa bas dosti ka saath chahaa
    saath pal bhar mein chor ke jaane waley yaad aagaye


    kis kadaar unnho ne hum ko sar-e-aam badnaam kiya tha
    woh aansoo ki fariyad woh raat ke aandherey yaad aagaye


    aaj humko mila hai

    woh shakhs jo jaan humko manta hain
    phir kyun ''MARIAM''

    tumhe woh dard ke lamhey yaad aagaye ..

    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: Hum palkein ashkon say dho leite hein

      harf e aakhir likha hay aur qalam tod diya hay

      deikh lay aey zabt e dard teri khushi ki khatir
      aankon ke pani ko hum nay dil ki janib mod diya hay

      kitne majboor hein hum aey dil e naadan tere aage
      teri khushi ke liye hum nay har bazm ko chod diya hay

      ab woh himat hi nahi ab woh chahtein hi nahi rahien baqi
      jin ke liye hanste hanste hum nay toofano ka rukh mod diya hai

      zindagi ki jaanib ab jo bhi rasta jaye ga jaye lekin mariam fana ke raste par chalne ko hum nay jeena hi chor diya hai
      Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
      main hazaar jaano se mar gai....

      Comment


      • #4
        Re: Hum palkein ashkon say dho leite hein

        Bohat he khoob sis,

        Comment


        • #5
          Re: Hum palkein ashkon say dho leite hein

          Bahot khoob Shehzadi nice poetry
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Hum palkein ashkon say dho leite hein

            nice sharing dear... keep it up
            میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

            Comment


            • #7
              Re: Hum palkein ashkon say dho leite hein

              nyc,......
              itne ghoor se na dheko mere haatho ko aay dost
              in lakheero mai hasrat ke siwa kuch bhi nahi

              Comment

              Working...
              X