Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Chhoti si ek ladki thi main jin dino

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Chhoti si ek ladki thi main jin dino

    chhoti si ek ladki thi main jin dino
    saari khushiyan apni si thin un dino
    maa ka aanchal baap ka saaaya sar pe tha
    dukh kya hai maaloom na tha kuchh un dino
    ek hadasa aiasa beeta un dino
    sar se saaya mere achcanak hatt gaya
    pal bhar me phir bachpan saara bah gaya
    saari samjh hi pal me aai un dino
    umr nahi thi umr se aage chal padi
    har ek mushkil se bas main jaise lad padi
    apni khushiyan peechhe chooti un dino
    dil mein saari chahat dafn si ho gai
    jeena tha par ab na vo bas apna tha
    chhote bhai bahano ke khatir ji padi
    aaj jo dekhun haathon me sab kuchh mere
    lekin vo jo chhoot gaya vo chhoot gaya
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: Chhoti si ek ladki thi main jin dino


    ab zindagi main hansa nahi jata
    bhichde yaaro ko bhulaya nahi jata
    apni zindagi ek pathjhad ban chuki hai
    jahan kabhi pyar ka phool khila nahi jata

    raato main ab soya nahi jata
    bina unhe dekhe ab jeeya nahi jata
    ek hum hai jo unka naam pukarte rehte hai
    aur unnke honton ko humara naam liya nahi jata

    ankhe band karne par bhi chehra unka hataya nahi jata
    dil se tera naam mitaya nahi jata
    kyun deewana kia is qadar?
    ke ab tumhe bhulaya nahi jata

    meri kalam ko araam diya nahi jata
    kagaz par is se zyaada dard likha nahi jata
    iss nazam ke saath SHEHZADI zindagi kaise khatam karun
    tere bin ab mara bhi nahi jata.......
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: Chhoti si ek ladki thi main jin dino

      dard ko dil mein basa ke kia karna hai
      aur aatish e hijr mein jala ke kia karna hai

      ek sayyi e la hasil ke siwa kia hai muhabat
      to khwab aankhon mein saja ke kia karna hai

      ek junbish e lehr e toofan say jo ujadd jaye to
      ghar samander ke kinare bana ke kia karna hai

      shidat e dard ko jab na woh samajh paye ga to
      phir gham e dil uss ko suna ke kia karna hai

      jab ye rasta uss ki manzil ko nahi jata to shehzadi

      phir chiragh rahon mein jala ke kia karna hay!!




      Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
      main hazaar jaano se mar gai....

      Comment


      • #4
        Re: Chhoti si ek ladki thi main jin dino

        Originally posted by shehzadi View Post
        chhoti si ek ladki thi main jin dino
        saari khushiyan apni si thin un dino
        maa ka aanchal baap ka saaaya sar pe tha
        dukh kya hai maaloom na tha kuchh un dino
        ek hadasa aiasa beeta un dino
        sar se saaya mere achcanak hatt gaya
        pal bhar me phir bachpan saara bah gaya
        saari samjh hi pal me aai un dino
        umr nahi thi umr se aage chal padi
        har ek mushkil se bas main jaise lad padi
        apni khushiyan peechhe chooti un dino
        dil mein saari chahat dafn si ho gai
        jeena tha par ab na vo bas apna tha
        chhote bhai bahano ke khatir ji padi
        aaj jo dekhun haathon me sab kuchh mere
        lekin vo jo chhoot gaya vo chhoot gaya
        Waah zabrdast :clap:

        bahot gehrai hai aap ki is Nazam mein jitna bhi parhen baar baar perhne ki ji chahta hai

        Aaj jo Dekhon haathon mein sab kuch mere
        lekin woh jo chhoot gaya chhoot gaya

        Waah very nice mein is Nazam ko Insha Allah Design karong Ager aap ki ijazat ho to ?
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Chhoti si ek ladki thi main jin dino

          naiki aur pooch pooch..
          Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
          main hazaar jaano se mar gai....

          Comment


          • #6
            Re: Chhoti si ek ladki thi main jin dino

            Done

            http://www.pegham.com/nazmein/53213-...ml#post1053801
            sigpic

            Comment

            Working...
            X