Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bhooli huai yadon mein dhoondhna

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Bhooli huai yadon mein dhoondhna


    KHUMAAR MAIN DOOBI BOJHAL AANKHEN
    jab pehloo se uth ke tum jaane lage
    khumaar main doobi bojhal aankhen
    rok rahi thi tumhe khud se juda hone se
    neend main doobi nasheeli aankhen
    dilkash aagosh ka sahaara khoj rahi thi
    tumse lipat ke zaar-zaar ro rahi thi
    thaam ke daman kar rahi thi iltijaa
    tum se juda hone ke dar se kaanp uthi thi
    lab laraz uthe ankhen chalak padi thi
    sisak ke lipat gai simat gai aagosh main
    takraar main karne lagi tumhe rokne lagi
    choora ke daman neend ki thapkiyaan dene lage
    meri bojhal aankhon main neend bharne lage
    khwabon ki aagosh main neend ki pariyaan lejaane lagi
    chupke se kaanon main sargoshiyan karne lage
    chhor ke jaane ki zid tum karne lage
    na kar paa rahi thi khud se alag tumhe
    jism se jaise rooh chali jaa rahi thi
    aaj arsa beet gaya laut ke na aaye tum kabhi
    meri badgumaani meri bechaini ka saboot hai ye
    jind-jaan maan toot ke chaahne ki sazaa hai ye
    unki baat maan kar jaane dene ki kaza hai ye
    khuda kissi se kissi ka humnasheen na bichde
    zinda rehke til til ghutke marne ki raza hai ye ..

    AA AUN JO YAAD TO BHOOLI HUAI YADON MEIN DHOONDHNA
    MUJHKO MERI TEHREER KE DHUNDHLE AAYINO MEIN DEIKHNA

    LOG KAISE SAMANDAR KI GEHRAYION MEIN DOOB JATE HAIN
    YE RAMZ USS KI SUNEHRI JHEEL SI AANKHON MEIN KHOJNA

    JO AN KAHI BATEIN REH GAYI HAIN HOUNTON PAR RUKI RUKI
    HAWA KE HATH WOH BATEIN LIKH KAR KHATON MEIN BHEIJHNA

    BAAD E SABA KE LAMS NAY KALIYON KO KHILANE KA IZN DIYA TO
    EK ZOUM E KHUSHBOO HAI JO SURKH GULABON MEIN SOONGHNA

    NA RASAYI KE KARB KI BE CHANIYON KO JAN NA CHAHO TO
    QAFAS MEIN QAID PARINDON KE TOOTE PARON MEIN DEIKHNA

    MUHABAT KIYA HAI HIJR MEIN KIYA BHEID CHUPE HEIN ''SHEHZADI''
    TANHAYI KI DEHLEEZ PAR BEITHI HUYI SHAMON MEIN SOCHNA...


    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: Bhooli huai yadon mein dhoondhna

    kisi bewafa ki chahat lagti hai
    lahu bahane ki unki adat lagti hai

    dard e dil bada hain in ankhon main
    dil ko hui kisi se mohbbat lagti hai

    jaam e ashq piye jate hain ab to
    zhakham khane ki tohmat lagti hai

    phoolo ko samet khaq bante hain
    khusbooo bhi barangat lagti hai

    qatal ker diya gaya mere payar ka
    qatilo se unnki badhi sobat lagti hai

    badan simat jaye qafan se to kya hai
    meri bandgi bhi unnki ulfat lagti hai




    kabhi dar ba dar phiraati hai muhabbat
    kuy e jaana mein zaar zaar rulati hai muhabbat

    jo palat kar ek baar na deikhe ham ko
    umar bhar unn ke laut aane ka intezaar karaati hai muhabbat..

    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: Bhooli huai yadon mein dhoondhna

      Waah bahot khoob Hamesha ki tarah bahot zabrdast likha hai aap ne
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Bhooli huai yadon mein dhoondhna

        nice

        Comment

        Working...
        X