Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dil hua bojhal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dil hua bojhal

    aansoo bikhar gaye
    barish ke baad jaise
    paid nikhar gaye
    gham-e- saagar mein
    yun zindagi he jaise
    pani gaagar mein



    dil hua bojhal
    aankh se woh shaksh
    kia hua ojhal


    khushi ka saaz
    chupaye apne ander
    ghum ka raaz


    yaadon ke phool
    ufaq-e- zehan par jami
    maazi ki dhool


    dil pareshan hua

    rishta e muhabbat
    jab se jazba e rayga hua..


    bahut apna koi jab bichad kar nahi milta
    sochon ke sunsaan nagar mein
    judayi ke tadapte lamhat mein
    sard udassi ki barfeeli hawa
    yun rag e jaan mein utarne lagti hai

    jaise buhat barishon ke baad bhi
    faseel e jism o jaan
    bheeghti nahi!!!!!
    Dil ki maadoom dhadkan mein
    koi taar e khush kun nahi bajta
    aur ana ke be nishan mousmon mein
    dhiyan ke khar daar sehra mein
    koi gul e wafa nahi khilta
    jab
    buhat apna koi bichad kar nahi milta!!!!



    palkon ki chilman se gir ke ek sitara toot gaya
    nam hathon se joon kaanch phissal ke toot gaya

    harf e sadaa ki tarah dhundhali si tehreer thi
    ek benaam sa rishta e dil tha aakhir toot gaya

    lehron pe aeitbar kar ke saahil par meine to
    reit pe mitti ka ek ghar banaya tha jo toot gaya

    aankhon ki waadi mein sapno ke gul khile to phir
    palkon se gir kar ek khwab suhana toot gaya

    ek halki si theis bhi nahi seh paya lekin kiya kahiye
    dil to ek khilona tha ''shehzadi'' toot gaya to toot gaya.



    jab dil mein
    aansooyon ki
    barsaat ho;
    magar kisi buhat
    apne ke liye
    muskurana pade
    to
    woh kya jaane
    ke
    sirf ek muskurahat
    labon par
    laane ke liye
    sar zameen e dil mein
    kitne aansoo
    jazab hote hein;
    aur uss lamhe
    khud say
    "munafqat"
    karna kiss qadar
    mushkil hota hai!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: Dil hua bojhal

    Bahot khoob Shehzadi nice poetry
    sigpic

    Comment

    Working...
    X