Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ek haadse si thi zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ek haadse si thi zindagi

    koi kah gaya kabhi phool bhi
    koi khaar kehke chala gaya
    kabhi hans diye kabhi chup rahe
    magar dil khamoshi se ro gaya

    ye jo silsile hain naamo ke
    mera dil inhi mein to kho gaya
    mera ek naam jo tha zindagi
    kahin in sabhi mein hai kho gaya

    nahi kuch bhi ikhtiyaar mein
    ki hawaayen hain badi tez si
    kabhi jo tha paas woh mit chuka
    jo na chaaha tha sab ho gaya

    na shikast ka koi gham hai ab
    na khushi hai ki dil sah gaya
    ek haadse si thi zindagi
    jahaan bas sukoon hi kho gaya..
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: ek haadse si thi zindagi

    Originally posted by shehzadi View Post
    koi kah gaya kabhi phool bhi
    koi khaar kehke chala gaya
    kabhi hans diye kabhi chup rahe
    magar dil khamoshi se ro gaya

    ye jo silsile hain naamo ke
    mera dil inhi mein to kho gaya
    mera ek naam jo tha zindagi
    kahin in sabhi mein hai kho gaya

    nahi kuch bhi ikhtiyaar mein
    ki hawaayen hain badi tez si
    kabhi jo tha paas woh mit chuka
    jo na chaaha tha sab ho gaya

    na shikast ka koi gham hai ab
    na khushi hai ki dil sah gaya
    ek haadse si thi zindagi
    jahaan bas sukoon hi kho gaya..
    Bohut Khoob... chiips

    Reputation Qabool kerain :dance:

    Comment


    • #3
      Re: ek haadse si thi zindagi

      dard e dil seh ker bhi,kuch na paya tanhaiyon ke siwa
      jaan e ishq or mahfil main bhi,kuch na paya ruswaiyon ke siwa

      aadat hai
      humen ashq pine ki,issliye dard e judai pee rahe hain
      pyar ke zakham seh ker bhi,kuch na paya bewafaiyon ke siwa

      kehne ko hum khush hain magar,dil pe udaasi chhayi huai hai
      teri khushiyon main bhi,kuch na paya gham ki gehraiyon ke siwa

      dil main chahat liye pyar bikta hai yahan chand sikkon ke dam
      arzu poori karne par bhi,kuch na paya nafrat ki hathkadhiyon ke siwa

      tere payar ki chah main ,phoonk diya humne apna ashiyan bhi
      tera pyar paker bhi,kuch na paya dil ki dushwariyon ke siwa....
      Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
      main hazaar jaano se mar gai....

      Comment


      • #4
        Re: ek haadse si thi zindagi

        koi khayal nahi zehan mein
        Bas kuch likhne ko jee karta hai..

        Kaise likhoon ye bekhayali
        Kuch banta hai phir bigadta hai..

        Lafz mitaye kitne likh kar
        Har lafz mein ek Ehsaas mit-ta hai..

        Zakham bhi ab dukhte nahi
        Dard thak kar shayad abhi simta hai..

        Qaid ho gaya har aansu
        Aankhon ka dariya bhi thehra hai..

        Khamosh dil ka har hissa
        Dhadkano mein sannata behta hai..

        Aasman ka maatha hai soona
        Aaj sitaaron se chaand rootha hai..

        Jaagi jaagi si raat hai
        Palkon pe khawab koi toota hai..

        Kya hua ''SHEHZADI'' ki kalam ko dekho
        Aaj Bekhayali ka Khayal likhti hai..!!
        Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
        main hazaar jaano se mar gai....

        Comment


        • #5
          Re: ek haadse si thi zindagi

          ye kaisa kasab kamaya
          dil apna aur dard paraya

          kanch ki duniya pather ke log
          rab ne kaisa nagar banaya

          dil mein rakh ke yaad sunehri
          hum ne veerane ko basaya

          raste mein bicha kar aankhein
          tera deikh le maan badhaya

          ilzam e be wafayi deine wale
          ye teri khushi dil ko samjhaya

          chahte to bhula sakte thay par
          ek pal ko bhi na tumko bhulaya

          chand lamhe zeest ka haasil ''shehzadi''
          jinko dil mein hum ne chupaya..
          Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
          main hazaar jaano se mar gai....

          Comment


          • #6
            Re: ek haadse si thi zindagi

            v nice...................

            Comment


            • #7
              Re: ek haadse si thi zindagi

              Waah bahot zabrdast poetry likhti rahen
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: ek haadse si thi zindagi

                wah ji wah bohat zabardast TFS :lpop:

                Comment


                • #9
                  Re: ek haadse si thi zindagi

                  Again Nice Sharing :dance:

                  Thanks a lot

                  Comment

                  Working...
                  X