Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Koi ghar mile

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Koi ghar mile




    Koi ghar mile jahaan aasmaan jhaankta sa ho
    ghutan na itni jahaan farsh kuchh naya sa ho

    nahi ho itna bada,itna achcha chaahe na ho
    bas meri chahaten reh payen iss tarah ka ho

    zubaan apni yahaan bhool chuki barson huae
    kahin ho mera shehar meri zubaan bolta sa ho

    ye saari bheed jo chalti hai bas chali jaati
    mile koi to mujhe jo kahin ruka sa ho

    kisi bhi ghar mein na aangan hai na bagheecha hai
    ye ek khwaab hai ghar ke aage kuchh hara sa ho ...











    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: Koi ghar mile

    behte ankhon se shabnami sharaare
    samet lete the daman main apne
    aaj khoon-e-dil hai rista sametta koi nahi
    mera ranj-o-alam apnaane waala koi nahi
    aaj mere ansoo pochne waala koi nahi
    mere dard-e-dil ka masiha koi nahi
    zakham-e-dil ka marham-zada koi nahi
    mere aahon nalon ka farishta koi nahi
    aaj sisakti hai siyaahi kalam main
    mere lafzon ko naya mod denewala koi nahi
    bezubaan meri tehreer hai lafz khokhle
    shehzadi ke alfaaz uski shayri koi nahi
    gamon se ubhaar kar mera masiha
    phir gam ke andhere main dhakel diya
    aaj mere gam ka madawa koi nahi
    mere ansuon ka khareed-daar koi nahi
    poochti hai "shehzadi" har kissi se
    mera humnawa mera humnasheen koi nahi
    jo zindagi ko mod dede rehnuma koi nahi
    tareeq-e-zindagi ka ujaala koi nahi....
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: Koi ghar mile

      waah bahot khoob shehzadi nice poetry
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Koi ghar mile

        wah jii wah zabardast

        Comment

        Working...
        X