Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

dil toot gaya chakna-choor hokar...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • dil toot gaya chakna-choor hokar...






    BAAR-E-GhAM UTHAANE LAGE MAJBOOR HOKAR
    gira diya nazron se kyon door hokar...
    chashm-e-tar hogai ankhein purnoor hokar...

    ghutan si hone lagi hai aaj seene main...
    baar-e-gam uthaane lage majboor hokar...

    wafa mujh se pooche..kyon chaahe bewafa ko...
    kiya kahun dhadakta hai dil wafa main noor hokar...

    bhatak gaya maseeha raqeebon ki baaton main...
    beimaan hogaya uska dil magroor hokar...

    inteha-e-dard se karaahne laga ye dil...
    aasmaan se takraane lagi aahein ranjoor hokar...

    shiddat-e-tanhaai se bikherne laga wajood...
    ashkon ka sailaab umad pada majboor hokar...

    teri bewaafai ne is tarha gazab dhaya jee par...
    "SHEHZADI" ka dil toot gaya chakna-choor hokar...


    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: dil toot gaya chakna-choor hokar...

    Ek bekasii hai hijr ke maaron ke saath saath
    tootaa hai meraa dil bhii sahaaron ke saath saath

    jii bhar ke dekhne bhii na paaye the chhup gaye
    armaan bhii hain udaas nazaaron ke saath saath

    dil mein vafuur-e-shauq kaa toofaan liye huae
    khaamosh jaagati huon sitaaron ke saath saath

    itanii to mahviyat ho tasavvur mein tere dost
    khud ko bhii bhool jaa_uu.n nazaaron ke saath saath

    "Shehzadi" ye aag ishq kii phir bhii na bujh sakii
    hai dil mein ashk-e-gam bhii sharaaron ke saath saath ..
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: dil toot gaya chakna-choor hokar...

      waah janab hamesha ki tarah bahot zabrdast likha hai aap ne
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: dil toot gaya chakna-choor hokar...

        zabardast poetry

        Comment

        Working...
        X