DIL SULAGTA HAI CHARAAG-E-MAZAAR KI SURAT
dil sulagta hai charaag-e-mazaar ki surat
udaasi chaa gai ruqsat-e-bahaar par jaise
naseeb soona hai mausam-e-khizaan ho jaise
chaman rota hai gulistaan ke ujad jaane se
ankhen bheeg gai kissi ke yaad aane se
dil tadap uttha kissi ke chale jaane se
naakamiyon ki chadar main lipti khamosh raat
gulon pe chandni ki thandi phaban ho jaise
kitni sard raat guzri hai tere bin jaan meri
ufaq par tanha chaand badalon se dhanka jaise
har tamanna lipti hai mayoosiyon ke saye main
dil-e-tabaah bhi sisakta-tadapta hai kaise
junoon-e-shouq to dekhe zara mere dil ka
ulajhta hai massaraton ki aas main kaise
vehshat-e-dil se jazbaat bhadak uthe hai
veerana-e-dasht main yaad-e-maazi ho jaise
phoolon ki pattiyon pe pighalti shabnam
mere ansoo ruqsaar pe bikhar rahe ho jaise
khwabon ke jaal main bhatakta mera wajood
sukoon na paaya khayalon ke jaziron main jaise
sog mana rahi hun kissi ki bewafaai ka
sang dil pe pade aur ankh se behte sharaare jaise...

Comment