Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aik waada tha,hum bhi nibha na sakey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aik waada tha,hum bhi nibha na sakey





    aik waada tha,hum bhi nibha na sakey
    uss khwaab ko dil se bhula na sakey


    dil main rakha yadoon ko teri
    marqad main unhain dafna na sakey

    logo ka liye hanste hi rahay
    hai dil main kiya,ye bata na sakey

    hum ishq ki aag main jaltay rahay
    askoon se bhi uss ko bujha na sakey

    kushion ka libada urh lia
    gham phir bhi chupa na sakey

    koshish to bohat ki thi ''SHEHZADI''
    hum dagh-e-jigar ko mita na sakey ...











    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: aik waada tha,hum bhi nibha na sakey

    jab Se Unn Se Mulakaton Ka Dor Tham Gaya Hai,
    Zindagi Mein Khushiyon Ka Aana Tham Gaya Hai,
    Kuch Pal Gujare The Jo Saath Unnke,
    Ab To Zindagi Mein Hasin Palao Ka Aana Tham Gaya Hai,
    Kabhi Hanste The Muskurate The Saath Unnke,
    Ab To Hansi Ka Labon Par Aana Tham Gaya Hai,
    Gujarti Thi Raten Unnke Khwabon Mein Pahle,
    Ab To Neend Mein Khuwabon Ka Aana Tham Gaya Hai,
    Ab Kiya Hanse Aur Kiya Roye,
    Dariya Se Pani Ka Bahna Tham Gaya Hai,
    Hum Karte Rahenge Intezar Hamesha,
    Bhale Unnka Inn Rahon Mein Aana Tham Gaya Hai,
    Bas Jiye Ja Rahe Hai Zindagi Kyunki Zinda Hai,
    Saanse Chal Rahi Hai Dil Ka Dhadakna Tham Gaya Hai.........
    Jab Se Unnse Mulakaton Ka Dour Tham Gaya Hai......
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: aik waada tha,hum bhi nibha na sakey

      waah bahot khoob shehzadi bahot khoobsurat poetry likhi hai aap ne
      sigpic

      Comment

      Working...
      X