Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Majbooriyon ke sath jiye ja rahe hain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Majbooriyon ke sath jiye ja rahe hain




    EK BAAR SAHI MEIN KHUD SE KHAFA HO JAUOON
    KASH AB KE BAAR MEIN HI BE WAFA HO JAUOON

    DAR E YAR PE SAR JHUKANE KE LIYE TALAB E DIL
    AAJ EK LAMHE KE LIYE HI BAD E SABA HO JAUOON


    ILZAM E MUHABBAT SAR LIYA HAI TO KYON NA
    JUDA HO KE TUJH SE KHUD HI SAZA HO JAUOON

    SHAB E GHUM KI TAWALAT SE GHBHRA KAR MEIN
    SAR JHUKAYE BANDAGI MEIN DUA HO JAUOON

    QADAR KHO DI DIL E BE CHAIN NE PANS AA KE
    SOCHA ISS LIYE TUJH SAY DOOR ZARA HO JAUOON

    GUNBAD E BE DARO DEEWAR MEIN JO BHATAKTI RAHE
    AEY ZEEST E SHEHZADI MEIN AB AESI SADA HO JAUOON..






    Majbooriyon ke sath jiye ja rahe hain
    Zindagi ko tanhai ka naam diye ja rahe hain

    Ronak e mehfil kaha mere dil ka naseeb raha
    Mili jo mehfil to jaam e gham piye ja rahe hain

    Wo dhundh rahe hain humen duniyan main dar ba dar
    Mile kaise yahan chehre pe chehre liye ja rahe hain

    Juda hokar bhi zinda kaise reh gaye hum ,pata nahin
    Chehre pe hansi liye zhakhamon ko siye ja rahe hain

    Mil kar juda hona yehi dastoor raha muhabbat ka
    phir bhi wo ''SHEHZADI''se mohabbat kiye ja rahe hain ..
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: Majbooriyon ke sath jiye ja rahe hain

    khamoshi Mein Bhi Sunayi Diya Karta Hai
    Dard Sada Dil Mein Duhayi Diya Karta Hai

    Bheeghi Hain Jo Dil Ki Palakein To Kiya Hua
    Ishq To Suno Gham E Judayi Diya Karta Hai


    Par Katt Kar Pinjra Khol Deita Hai Lekin
    Siyyad Kab Qafs Se Rihayi Diya Karta Hai

    Hijr E Pur Khar Ke Dasht E Sarab E Jaa Mein
    Kab Muhabbat Ko Kuch Suhjayi Diya Karta Hai

    Aj Bhi Tere Naam Par Hi Jhukti Hai Dil Ki Jabeen
    Kab Tere Siwa Koi Chehra Dikhayi Diya Karta Hai

    Tawaqa E Wafa Nahi Hamein Uss Say Shehzadi Kyon Ki
    Woh Sila E Muhabbat Mein Be Wafayi Diya Karta Hai..
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: Majbooriyon ke sath jiye ja rahe hain

      nice................

      Comment


      • #4
        Re: Majbooriyon ke sath jiye ja rahe hain

        Waah bahot khoobsurat poetry likhi hai aap ne
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Majbooriyon ke sath jiye ja rahe hain

          buht achi..........
          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

          :pr:

          Comment


          • #6
            Re: Majbooriyon ke sath jiye ja rahe hain

            bahut khoob

            Comment

            Working...
            X