Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mere Ehsaas Mehekte Hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mere Ehsaas Mehekte Hai

    MERE EHSAAS MEHEKTE HAI
    ye jo mere ehsaas mere jazbaat hai
    seene main dafan rahe to mehekte hai
    agar izhaar kardo iss pyaas ko to
    madhosh hoke behekte hai
    hawa na do in jazbaton ko
    zara si chaah se ye chehkte hai
    agar chupaao in jazbaaton ko to
    dil main dard banke bhadakte hai

    mitti daaldo mere ehsaason par
    ''SHEHZADI'' ki kabr bana do
    na dikhaao khwaab jo machalte hai
    padh do fateha aur dafn kardo
    har khwahish har hasrat ko
    mar gai hai bas kafan pehna do
    agar jaag gai tamanna zindagi ki to
    phir se jeene ki khwahish ko uksaate hai

    na jee paungi iss adhoore ehsaas ke saath
    jo na muyyasar ho wo khwaab kyon dekhun
    jab saath nahi chal sakte tum to
    kyon manzil ka nishaan dete ho
    haath thaam kar agar le jaa sakte ho
    to aage badhkar mera gam baantna
    nayi saaz naye geet mere liye nahi hai
    na sunaao nai dhun jise jee machalta hai

    kehne ke liye na kaho ke mera khayaal hai
    har lamha agar saath nibhaa sako to kaho
    thak gai hun jhoote waadon-kasmon se
    har lamha intezaar har pal dil beqaraar
    kyon ye takleef de rahe ho mere masihaa
    qatal bhi karte ho to labon par muskurahat liye
    "SHEHZADI" ko mita de apne haathon se ai dilbar
    ab bas bhi kar tere zulm ki intehaa hogai hai....
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: Mere Ehsaas Mehekte Hai

    Waah bahot khoob zabrdast likha hai aap ne
    sigpic

    Comment

    Working...
    X