Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sab kuch bikhar gaya

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sab kuch bikhar gaya

    yeh kia hua do lamhon me sab kuch bikhar gaya
    koi shakhs dil ke tukdon pe hokar guzar gaya
    sab kuchh luta luta sa bikhra yahan wahan......
    jaise kisi chaman se tufaan guzar gaya !!

    ghuti ghuti si aahen bhi khamosh ho gayin !!
    hairat zadah nigahen bhi kuch door tak gayin...
    chaha bahut ke rok lun,aawaaz dun usse
    khud badhke haath thaam lun,jaane na dun usse!!
    lekin tamam koshishen nakaam ho gayin..
    na qadam hi uthe, na aawaaz hi gayi !!

    yun laga jase sab kuch tham sa gaya ho!!
    waqt jaise lamhon mein jam sa gaya ho !!
    khushiyon ko jaise gehan lag gaya ho !!

    nigaahon mein saaya sa lehra raha tha..
    har ek mod se wo badha ja raha tha...
    bas aek shakhs tha...jo chala ja raha tha...........



    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: sab kuch bikhar gaya





    ab sadaa e dard sun kar bolta koi nahi
    sab hain surat aashana gham aashna koi nahi

    sun rahi hun har taraf se khud hi main apni pukaar
    main jahaan hun uss jagah ab doosra koi nahi

    umar bhar jalti rahi main zindagi ki aag mein
    jurm woh hai jiski miyad e saza koi nahi

    ashq e gham ke saath behta hai tamanna ka lahoo
    haaye iss sailaab ko ab rokta koi nahi

    toot kar aaina e maazi bhi tukde ho gaya
    ab meri surat ko bhi pehchaanta koi nahi

    uth gayi rasm e wafaa duniya se jab iss dour me
    ab kisi se bhi yahaan hum ko gila koi nahi


    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: sab kuch bikhar gaya

      waah bahot khoob Achha likha hai aap ne
      sigpic

      Comment

      Working...
      X