Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

intezaar ka bojh uthana meri adat hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • intezaar ka bojh uthana meri adat hai

    intezaar ka bojh uthana meri adat hai,
    vadon ki lashain dhotey jana meri adat hai,,

    gamey dil meri bataon se pareshaan to nahin,
    teri batain kartey rahna meri adat hai,,

    tum bhi kabhi koi sapna buno,
    khuli ankhon ko khuwab dikhana meri adat hai,,

    rusvaiyon ki aag main jalti nahin hoon main,
    sard rishto main khud ko jhulsana meri adat hai,,

    badey shauk se mujhko dardey jafa dijiye,
    jikrey gam se jee bahlana meri adat hai,

    dariya see rawani 'SHEHZADI' sahil sey takrana,
    apni ro main bahtey jana meri adat hey...
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: intezaar ka bojh uthana meri adat hai

    Dard ki raahon pe hum phool sajaa detey hain
    Ajnabi khuwabon ko gehri neend sula detey hain


    Bhanwar-e-maazi se hum ko kya lena dena janab
    Hum to roz naye din ko naya jashn bana detey hain


    Jalana chahe ger koi hume tou khud jal jatey hain
    Suni ko an-suni kerke hassii mei udda detey hain


    Jo sochte hain ussey ker dikhane ki chah rakhte hain
    Manzil duur kahan usey hum khud paas bula detey hain


    Khagaz ki tarah zindagi apni lafzon ka dariya hai yahan
    Jo Lafz dard de jayen SHEHZADI hum usko mitta detey hain ..
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: intezaar ka bojh uthana meri adat hai

      Dil sa raha jigar sa raha jaan sa raha,
      Hairat hai phir bhi hum se wo anjaan sa raha.

      Hum apne dil ki baat jo tumse na kar sake,
      Barson humara zahan pareshan sa raha.

      Hum aapse bichad ke akele nahi rahe,
      ek umar gham humara nigahbaan sa raha.

      Pal bhar mein saath chor ke anjaan ho gaya
      Barson humare dil mein jo mehmaan sa raha.
      Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
      main hazaar jaano se mar gai....

      Comment


      • #4
        Re: intezaar ka bojh uthana meri adat hai

        Waah bahot khoobsurat poetry likhi hai aap ne nice one
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: intezaar ka bojh uthana meri adat hai

          wow beautiful poetry

          Comment

          Working...
          X