Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

muhabbat ke pyaase

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • muhabbat ke pyaase


    bikhar jaate hain sapne saare pal bhar mein
    ujad jaate hain rishte naate pal bhar mein

    chupa kar hum zamane se, nigaaho mein
    udaasi dil ki hai bhar laate pal bhar mein

    goya apne paraaye sab hi shamil ho
    hazaaro zakham dil ne khaaye pal bhar mein

    kahin to umar bhar na nikle aankhon se
    chalak jaaye kahin paimaaney pal bhar mein

    pilaao jin ko khoon e dil wahin aksar
    de jaaye ashko ke faw-waarey pal bhar mein

    paheli hai bohat paicheeda yeh duniyaa
    akela dil kaise suljhaaye pal bhar mein

    zabaan se chup, magar ''SHEHZADI''haan toot jaatey hain
    muhabbat ke pyaase deewane pal bhar mein...
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: muhabbat ke pyaase

    Waah bahot khoob shehzadi bahot khoobsurat Ghazal likhi hai aap ne
    aap k signature ka shair bhi bahot achha hai
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: muhabbat ke pyaase

      bahut khoobsurat sharing hai............................... by the way aap vohi shahzadi ho jo kisi waqt aap ashiyna.net per hoti thein????
      :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

      Comment


      • #4
        Re: muhabbat ke pyaase

        Nahin jee ... meri khud ki apni aek site thi kabhi lekin abb woh bhi nahi hai..
        Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
        main hazaar jaano se mar gai....

        Comment

        Working...
        X