Dooriyon ka hai saath kuchh aisa
Dooriyon ka hai saath kuchh aisa
Faasle khwaab bante jaate hain
Paas rehna bhi ek khwaab sa hai
Jaane kis raah badhte jaate hain
Koi dil tak mere na ab aaye
Dasht hai raah na mil payegi
Ranj aur gardishon ke jangal me
Ab koi chaah na mil paayegi
Koi qaanoon dil bhi maane hai
Jaane kyun usko apna jaane hai
Kitna gehraa hai rishta yunhi sa
Ab koi soch na thikaane hai
Bas zara ruk ae gardish e douraan
Dekh vo khwaab kitna dilkash hai
Mujhko haasil nahi hai khwaab to kya
Paas se us ke guzar jaane de
tham rahi hai qalam ya saans meri
ho chuke lafz gum zubaan se ab
Sirf ek zehan me doudde sochen
Mujhko ab de nijaat mere rab
Koi aise rahe na aise jiye
Yaaki dil aisa na kisi ko mile
Koi pal dil ka nahi guzraa hua
Zindigi se mujhe hain itne gile
Koi baarat hai ye khwahish ki
Ya janaaza hai tamannao ka
Zindigi hai ki hai ye koi sitam
Koi haasil nahi wafaaon ka
Chaar din khwaab rakhe dil me jo
Dil se ik purkashish khushi ubhri
Usko likhne ka jo iraada kiya
Khwaab ashqon me doob beh nikle
Kitni sangeen fiza hai ya rab
Dhadkane thak ke doobne ko hain
Likhna kaagaz pe bhi na raas aaya
Lafz ab zehan se mite se hain
Dooriyon ka hai saath kuchh aisa
Faasle khwaab bante jaate hain
Paas rehna bhi ek khwaab sa hai
Jaane kis raah badhte jaate hain
Koi dil tak mere na ab aaye
Dasht hai raah na mil payegi
Ranj aur gardishon ke jangal me
Ab koi chaah na mil paayegi
Koi qaanoon dil bhi maane hai
Jaane kyun usko apna jaane hai
Kitna gehraa hai rishta yunhi sa
Ab koi soch na thikaane hai
Bas zara ruk ae gardish e douraan
Dekh vo khwaab kitna dilkash hai
Mujhko haasil nahi hai khwaab to kya
Paas se us ke guzar jaane de
tham rahi hai qalam ya saans meri
ho chuke lafz gum zubaan se ab
Sirf ek zehan me doudde sochen
Mujhko ab de nijaat mere rab
Koi aise rahe na aise jiye
Yaaki dil aisa na kisi ko mile
Koi pal dil ka nahi guzraa hua
Zindigi se mujhe hain itne gile
Koi baarat hai ye khwahish ki
Ya janaaza hai tamannao ka
Zindigi hai ki hai ye koi sitam
Koi haasil nahi wafaaon ka
Chaar din khwaab rakhe dil me jo
Dil se ik purkashish khushi ubhri
Usko likhne ka jo iraada kiya
Khwaab ashqon me doob beh nikle
Kitni sangeen fiza hai ya rab
Dhadkane thak ke doobne ko hain
Likhna kaagaz pe bhi na raas aaya
Lafz ab zehan se mite se hain
Comment