kha jata hai ke aurat zindagi mian sirf aik bar mohabbat karti hai magar aisa nahi hota ager iski mohabbat sirf aik dafa hoti tu wo sirf apne waldein se mohabbat karti ya iski mohabbat apne bahen bhaiou ke liye hoti ya phir sirf apne mehbob ya mizaji khuda se mohabbat karti ya phir iski mohabbat apne dosto keliye hoti ya phir iski mohabbat sirf or sirf apni ulad keliye hoti.magar haqeqat tu yeh hai ke her aurat her larki her maa her bewi her wo aurat jo pyar o mohabbat apno se karti hai wo sirf aurat he karsakti hai aur aurat ki ahmeyat o qadar sirf wo lag jan sakte hai jo is thundi chao se mehrom hain isliye aurat ko mohabbat o pyar ka paiker kha jata hai
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Aurat ki Mohabbat...!
Collapse
X
-
Re: Aurat ki Mohabbat...!
Asalam o Alikum
Nice Thread + Very Nice Batain :)
Woman ( Aurat ) Ager Pyaar Kerti Hai to es ka Koi Sani Nahe or Ager Nafrat Ker lay to es ka koi Jor Nahe.........
Child + Sister + Daughter + Friend + Wife + Mother Yeh Sab Rishtey Mohabat k Rishtey Hain or 90% in Rishtoon may Aurat ki Mohabat Zaida Hoti Hai Bocz Aurat " Careless " Nahe Hoti Hai.....

Comment
-
Comment
-
Re: Aurat ki Mohabbat...!
Kya yeh sachhhhhhhhh baat hai...Originally posted by nazkha jata hai ke aurat zindagi mian sirf aik bar mohabbat karti hai magar aisa nahi hota ager iski mohabbat sirf aik dafa hoti tu wo sirf apne waldein se mohabbat karti ya iski mohabbat apne bahen bhaiou ke liye hoti ya phir sirf apne mehbob ya mizaji khuda se mohabbat karti ya phir iski mohabbat apne dosto keliye hoti ya phir iski mohabbat sirf or sirf apni ulad keliye hoti.magar haqeqat tu yeh hai ke her aurat her larki her maa her bewi her wo aurat jo pyar o mohabbat apno se karti hai wo sirf aurat he karsakti hai aur aurat ki ahmeyat o qadar sirf wo lag jan sakte hai jo is thundi chao se mehrom hain isliye aurat ko mohabbat o pyar ka paiker kha jata haiKhandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: Aurat ki Mohabbat...!
sahe kha ap ne :roseOriginally posted by Zaal!mAsalam o Alikum
Nice Thread + Very Nice Batain :)
Woman ( Aurat ) Ager Pyaar Kerti Hai to es ka Koi Sani Nahe or Ager Nafrat Ker lay to es ka koi Jor Nahe.........
Child + Sister + Daughter + Friend + Wife + Mother Yeh Sab Rishtey Mohabat k Rishtey Hain or 90% in Rishtoon may Aurat ki Mohabat Zaida Hoti Hai Bocz Aurat " Careless " Nahe Hoti Hai.....
~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~
Comment
-
Re: Aurat ki Mohabbat...!
hmmm....! sach tu hai waise yeh.ap ko koi shak hai kiya ? waise kuch aurton ne is sach ko jhot sabit kiya hai.jabhe shayad app poch rahe hain @};-Originally posted by Spy009Kya yeh sachhhhhhhhh baat hai...
~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~
Comment
-
Re: Aurat ki Mohabbat...!
Koi shak nahin is baat mein keh aurat muhabbat-o-pyaar ka paikar hoti hai. Lekin muhabbat key saath saath mehr-o-wafa ka naam bhi liya jata hai. Aur aurat is khoobi sey bhi waqif hai. Lekin wafaein bhi aaj kal na'khaalis ho chuki hain. Mard-o-zan mein wafa rahi hi nahin.Originally posted by nazaurat ko mohabbat o pyar ka paiker kha jata haiمجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں
Comment
-
Re: Aurat ki Mohabbat...!
Originally posted by nazhmmm....! sach tu hai waise yeh.ap ko koi shak hai kiya ? waise kuch aurton ne is sach ko jhot sabit kiya hai.jabhe shayad app poch rahe hain @};-
Ab Muhabbat ki buniyad paise pe hoti hai...jitna paisa dalenge...muhabbat utna mazboot hoga.Originally posted by barg.e.gulwat ur experience say??
Wo zamanan nahin raha ke Majnoo ko jab log patthar mar rahe hotey hain to koi Laila daudi huwi aaye aur kahe "Koi patthar se naa maro mere deewane ko", ab to Laila bhi chhip ke tamasha dekhti hai...Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: Aurat ki Mohabbat...!
dawlat sab kuch nahi hoti--ye sirf aik zaroorat hai---zaroorat sey ziada kuch bhi nahi hai ---agar dawlat zaroorat sey kam hai to massley to hon gey aur agar ye zaroorat sey ziada hai tabhi bhi massley hotey heinOriginally posted by Spy009[/b]
Ab Muhabbat ki buniyad paise pe hoti hai...jitna paisa dalenge...muhabbat utna mazboot hoga.
Wo zamanan nahin raha ke Majnoo ko jab log patthar mar rahe hotey hain to koi Laila daudi huwi aaye aur kahe "Koi patthar se naa maro mere deewane ko", ab to Laila bhi chhip ke tamasha dekhti hai...
Muhabbat ko aap kabhi bhi paisey sey nahi khareed saktey, jo log paisa deykh ker kaareeb aatey hein--kya aap samjhtey hein key wo poorkhaloos hein--- ho hi nahi sakta--
ye alag baat hai key aaj key daur mey khaloos kam hota ja raha hai leykin phir bhi meyra nahi khayal key hum dawlat ko Muhabbat per tarjeeh dey saktey hein" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment

Comment