Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ DiL ki DuNiya ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

    DiL ki DuNiya he alag hoti hia...agar is main koi chupke se basera karle tu...DiL ki banjar zameen achanak kisi ki amud se abad aur khush hal hojate hia...hamara DiL is khush fehmi main mubtela hojata ke...yeh Mehman is DuNiya main hamesha basa rahe ga...kabhi is DuNiya se roth kar nahi jaye ga.

    leken is na samaj DiL ko kiya khabar ke yeh Mehman kitna...zalim hai...ata tu chupke se hai...leken jate howe...tamam sapne tor jata hai...is DiL ki hansti basti DuNiya ko hamesha ke liye veran kar jata hia.

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

  • #2
    Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

    Aaney waley apney saath khushiyaan, waadey, bharosey, chahatein aur na-janey kya kya ley ker aatey hain - magar jatey huwey sabhi kuchh rez rez kar jatey hain. :rose
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

      apney dil mey hamesha aeysey logon ko basera kerney diya karein jo aap key jazbon aur ehsaasaat ki qadr kerna jaantey hon :thmbup:

      yani her aik ko dil mey "baseyra" nahi kerney deyna chahiye :D:
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

        Originally posted by barg.e.gul
        yani her aik ko dil mey "baseyra" nahi kerney deyna chahiye
        dil mein to bohat log bas saktey hain magar dil mein GHAR koi aik ko hi karna chahiye, aur yeh owh hai jo aap key dil ki qadar kar sakey. Warna to mera khiyal hai keh jis insaan ki aap ko qadar hai woh kisi tor aap key dil sey wabasta hai - kya khiyal hai
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

          Originally posted by Masood

          theek...
          to phir apney dil ko theek thak mazboot bhi rakhna chahiye key ye asaani sey na tootey....
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

            Originally posted by Masood
            Aaney waley apney saath khushiyaan, waadey, bharosey, chahatein aur na-janey kya kya ley ker aatey hain - magar jatey huwey sabhi kuchh rez rez kar jatey hain. :rose
            jate howe yehe sub apne sath bhi lejate hain...!

            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

            Comment

            • #7
              Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

              Originally posted by barg.e.gul
              apney dil mey hamesha aeysey logon ko basera kerney diya karein jo aap key jazbon aur ehsaasaat ki qadr kerna jaantey hon :thmbup:

              yani her aik ko dil mey "baseyra" nahi kerney deyna chahiye :D:
              kisi ko kiay pata hota hai ke wo..aik bhi jo basera karaha hai wo bih mukhlis hia ke nahi ...! kaash hamain kisi ke dil ka hal phele se he pata chal jaye tu aisa na ho ....!

              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

              Comment

              • #8
                Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

                :phool:

                Comment

                • #9
                  Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

                  Originally posted by barg.e.gul
                  key ye asaani sey na tootey
                  tootney wali cheez ka kya bharosa :)

                  Originally posted by naz
                  kaash hamain kisi ke dil ka hal phele se he pata chal jaye....
                  kyun duniya mein phadda dalney ki soch rahi han Naz. Aisa ho jaey to duniya tabah na ho jaey :D
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

                    Originally posted by naz
                    DiL ki DuNiya he alag hoti hia...agar is main koi chupke se basera karle tu...DiL ki banjar zameen achanak kisi ki amud se abad aur khush hal hojate hia...hamara DiL is khush fehmi main mubtela hojata ke...yeh Mehman is DuNiya main hamesha basa rahe ga...kabhi is DuNiya se roth kar nahi jaye ga.

                    leken is na samaj DiL ko kiya khabar ke yeh Mehman kitna...zalim hai...ata tu chupke se hai...leken jate howe...tamam sapne tor jata hai...is DiL ki hansti basti DuNiya ko hamesha ke liye veran kar jata hia.

                    Buhut sahi kaha ............. Janey anjaney mai koi Dil mei aa basta hai, Na chahtey huwy bhi Dil ousey chahne lagta hai......... kayi umeedein, sapney aur khwahishein .......... Din-ba-din ous ke pyar dil main youn jarein garta hai jese koi beej Dil ki zamen mei boya ho........ phir ousey chahat ka pani diya ho aur ous main se wafa ki poda nikal parey ..... jo ahista ahista waqt ek sath issi zameen main apni jarein garta jayeh, aur kayi saal guzerne ke baad jab yeh mazboot ho chuka ho aur is ki jarein buhut mazboot aur gehri ho jayein to Ek jhatkey se ousey Dil se nikal painkha ho ............. Matti ki Zameen ho to ous khada reh jata hai.......Insan ka Dil ho to ous main ghao ....... Jo kabhi kabhi waqt ke sath bhar jatey hain magar nishan chor jatey hain..........
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

                      Originally posted by sheem
                      :phool:
                      :eye:

                      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

                        Originally posted by naz
                        :eye:

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

                          Originally posted by naz
                          DiL ki DuNiya he alag hoti hia...agar is main koi chupke se basera karle tu...DiL ki banjar zameen achanak kisi ki amud se abad aur khush hal hojate hia...hamara DiL is khush fehmi main mubtela hojata ke...yeh Mehman is DuNiya main hamesha basa rahe ga...kabhi is DuNiya se roth kar nahi jaye ga.

                          leken is na samaj DiL ko kiya khabar ke yeh Mehman kitna...zalim hai...ata tu chupke se hai...leken jate howe...tamam sapne tor jata hai...is DiL ki hansti basti DuNiya ko hamesha ke liye veran kar jata hia.

                          Khushiyan, wadey, muhabbat...sab ne apni DIL ki baat kah di...kabhi doosrey pahloo se bhi socheyn wo mehman bhi uss dil ko ek aasra, ek thikana samajh ke aaya tha, socha tha kuchh wadey kar letey hain, khushiyan baant lete hain,

                          lekin ...wo Dil bhi kitna Zalim ho sakta hai jo mehman ko Dil se bahar nikal phenk de...kya pata wo mehman bhi uss "DIL" ki aarzoo mein majnoo ki tarah kahin door sehra ki khaak chhanta phir raha ho...
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

                            Originally posted by Saima Shaheen

                            Din-ba-din ous ke pyar dil main youn jarein garta hai jese koi beej Dil ki zamen mei boya ho........ phir ousey chahat ka pani diya ho aur ous main se wafa ki poda nikal parey ..... jo ahista ahista waqt ek sath issi zameen main apni jarein garta jayeh, aur kayi saal guzerne ke baad jab yeh mazboot ho chuka ho aur is ki jarein buhut mazboot aur gehri ho jayein to Ek jhatkey se ousey Dil se nikal painkha ho ............. Matti ki Zameen ho to ous khada reh jata hai.......Insan ka Dil ho to ous main ghao ....... Jo kabhi kabhi waqt ke sath bhar jatey hain magar nishan chor jatey hain..........
                            Oh...Kya Filsafana baat ki...hai Sammu ne.
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~*~ DiL ki DuNiya ~*~

                              Originally posted by Spy009
                              Oh...Kya Filsafana baat ki...hai Sammu ne.

                              Is main falsafa kya hai :a stick:

                              Yeh haqeeqat hai wo samajhta hai jo sehta hai :(
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X