jab tumhe apni zaat adhori mehsos hogi...tumhare rug-o-pay main meri yaadain ruch bus jaye gi...tum mian faqat aik he mousam tahur jaye ga...tumhari sansain ruk ruk kar chalne lage gai...aur tumhari her ass be ass hojaye gi...tu main tumhe bhot yaad ayo ga...phir tum mujhe dhondna soro karogai...mujhe palene keliye beikhtiyar Duain karne lagogai...magar phir...phir tum mujhe kha milogai ?
Tum is bahar main Mahektey phoolo ko dekho gai...inki khushboo main mujhe talash karogai...tu tum khud bhi in khushbao main koh jao gai...Main khushbao main kahe but chuka hoga...aur hamesha keliye tumhare qareb reh kar...tumhare her dukh ka madawa banoga...her so heryali aur lala ke phool dekh ker pichle bahar ki yad tumhari roh ko majroh karti jaye gi...tu tum bikhar jaogai...pus tum apne app ko....apne khiyalon ko...apne jazbat ko aur apne ehsasat ko samait nahi pao gai...tumhari zindagi main sirf yeh umeed baki reh jaye gi...ke ager tum mujhe pao hai tu bahar main he pao gai.
LekeN zarori nahi ke tum mujhe bahar he main pao gai...main lamha lamha dhadkan ki surat tumhare seene main dharak longa...tumhari nus nus main laho ki manind gardisg karonga...phir bhi ager tum mujhe nahi pao gai tu chand ko dekhogai...iski dilgir Roshni main tumhe mera he aks mile ga...apni ankhon main dekho gai tu iska her ansoo tumhe main he lago ga...aur tum lakh koshish ke ise rok nahi pao gai...ke wo tumhari piyari ankhon ka ghar chor ker khak main ghul mil jaye ga...magar phir tumhare jism main khushi ki aik lahar dore gi...jab tumhe bahar ki yaad aye gi...haan bahar ki...ke agar tum mujhe pao gai...tu bahar main...sirf bahar main...!!!

Comment