Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

wo Shaam...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • wo Shaam...!


    Ghanay kalay badal asaama'n ke aagay shockh or chunchal hawa ke saharey rukhs kerte ja rahay thay. main or tum "neem" ke darakht ke saye talay har cheez se lataluq aik doojaye se pyaar ki baatein ker rahay thay. is waqt tum ne mujh se poocha tha ke tumhara or mera ye bundhan kitne rasey se hai.. or main ne kaha tha. ke jab se "chaand or chaakor" or " shama or parwano'n " ka rishta hai tab se......, ye hummari Muhabbat hum dono ke wajood se joori hai
    Tum ne muskara ker mujh se phir poocha. " Kia har wajood ko Muhabbat ki zaroorat hai? "
    main ne kaha tha "haan ! kyonkey har aik wajood main khuda basta hai.. or khuda'ee ka pehla ehsaas hi muhabbat hai "
    itne main hummare pyaar ke pehley sawan ki barsaat hooi or hum is main bari der tak bheegtey rahay. shaam hone wali thi, main ne kaha . "der ho rahi hai , ab chalna chahiye " or is ke saath hum bheegtey bheegtey lal ghulaab ke bhaaghaat se guzartey hoove ghar ki tarf ja rahay thay..
    isi waqt main ne tum se kaha tha. "pata hai ye shaamein udaas kyon hoti hain ? kyonkey har shaam ke baad aik seyaa or andheri raat ka ghumaa'n har chind parind or insaano'n ko hota hai or wo aapne ashiyaao'n ki taraf jate hain, jis se tanha'ee ka ehsaas hota hai, tumhain to pata hai ke tanha'ee ki udaasi kis qadar aaziyat naak hoti hai.. ye to wo dard hai ke jab bhi hota hai to insaan murjhaye hoove phool ki tarha lagta hai. jis ko muhabbat or khushi ki pyaas hoti hai "
    tum ne kaha tha .. " ye muhabbat ka deep shaam ki udaasiyo'n ko alvida keh ker kisi chaandni raat main chaand ki tarha roshan or purumeed asaama'n ke seenay par aapne husn ke jalway dekhta hai "

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

  • #2
    Re: wo Shaam...!

    "inn dono" ke batoon ko padh ker ek shair yaad a giya


    Akhir akhir sachy qool bhi chubtey hain dil waloon ko
    pehley pehly piyar ke jhoty wadey achey lagtey hain..

    (muhsin naqvi)

    yeh loog bhi aisi hi gup laga rhay hain:kr:
    Zaid Hammid on Sawat War..
    A must Watch..

    Comment


    • #3
      Re: wo Shaam...!

      really nice post per kar achaa lagaa :thmbup:
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #4
        Re: wo Shaam...!

        hmmm good

        Comment


        • #5
          Re: wo Shaam...!

          ahhhhh Kash Kisi ko Pyarrrr ka ilm huta
          Fastest Proxy Server.... Open The Ban webz...

          http://www.surf786.com

          Comment

          Working...
          X