Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

shehr-i-butan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • shehr-i-butan

    seencha hai her ik lafz terey shehr-i-butaan sey
    patther dilon key dard sey waaqif ho kahan sey

    dil dard key rishtey sey tho aazad kar naseh
    yaa phhir mujeh rahaa kar uss sung giraan sey

    hum dard ko seh kar bhi shaadaab rahaingen
    jaaney ko situm gar kahin keh dey na yahan sey

    tum khush raho tho bus mera aabaad rahey dil
    jaaney ki zid na kar dil key aabaad makaan sey

    abb bol situm mujh pey tum kia aur karogi
    ho dard tujeh bhi merey kuchh aah-u-faghan sey

    rakhh laaj muhabbat ki na kar itni bairukhi
    utth na jaae etibaar muhabbat ka jahaan sey
    Last edited by Mujahid Khan; 5 June 2007, 08:46.

  • #2
    Re: shehr-i-butan

    very nice.......................acha laga parr ker.

    Comment


    • #3
      Re: shehr-i-butan

      Originally posted by Zindgi View Post
      very nice.......................acha laga parr ker.
      bohoth shukria pardhti rahiye aur khush rahiye

      Comment

      Working...
      X