Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pegham Ko Saalgirah Mubarik

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Pegham Ko Saalgirah Mubarik

    phoolon ki kiyari ko saja raha hai kon
    yeqeen manzal talak apne ley ja raha hai kon

    gham ko dilon sey pak karney ki saii mey
    urdu key talaffuz mey samjhah raha hai kon

    mosam-i-hijr mey phoolon ki tasalli keliye
    koil key bol geet key sunaa raha hai kon

    wisl-u-hijr key qissey tamam dunya key
    soz-u-gadaz-u-ishq ko garma raha hai kon

    arman jo dilon mey sub jaag rahe hain
    lamhon ki nizakat ko samjah raha hai kon

    gulu-bulbul ko sar-i-dast hijar mey
    raah-i-wafa aasaan ter bana raha hai kon

    her zakhmi jigar dil pey sirf aaram ki khaatir
    maraham ko bardey piar sey laga raha hai kon

    beykhabr zamaaney ko bhi aalim bana dia
    aei yaar merey ilm ko bardha raha hai kon

    rukhi yaar pey dekhun duji baar main khushi
    keh rukhi yaar pe khushi nacha raha hai kon

    rehman mujahid
    Last edited by Mujahid Khan; 9 April 2007, 15:51.

  • #2
    Re: Pegham Ko Saalgirah Mubarik

    boht umdah janab nice

    Comment

    Working...
    X