Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

keh shaair main ban jaaunga

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • keh shaair main ban jaaunga

    main ney yeh na socha thah
    keh main shaair bun jaaunga

    urdney ki aik talab thi mujh mey
    kuchh banna bhi chaahta thah lekin
    ishq ka bhi bhhoot sawar thah mujh pey
    ik naqshah bhi baar baar puchah thah
    keh main maahir bun jaaunga
    lekin yeh shaayad na socha thah
    keh main shaair bun jaaunga

    ik dhun mey rehta thah aksar
    yeh ishq muhabbat cheez hai kia
    jisey aaj talak koi samaj na paya
    main haar key bhi kuch thhuk na paya
    per ishq samandron dunga hai
    yeh kon hai kia hai gunga hai
    her waqt imtihaan leta hai
    her shakhs ko yeh der rehta hai
    aur mushkil sey paas hota hai
    keh main baahir ho jaaunga
    per main ney yeh na socha thah
    keh main shaair bun jaaunga

    ishq key her rang ki gehraai mey
    kuchh alag sey rang tarang hain yaaro
    her rang key her ada mey phir
    fitrat ki rangeeni bhi hai
    yeh rang tarang phir hum pey yaaro
    muhabbat key rang barsaati hai
    khheton ki sansanahat sey
    baarish ki tiptipaahat sey
    phoolon ki narmaahat sey
    naazninon ki thhakawat sey
    sirf piar muhabbat ishq dekhha
    per ishq ki uss gehraai ko
    main phir bhi samajh na paaya huun
    aur sub sey main ney baari baari
    ishq key baarey puchah thah
    aur yeh bhi main ney socha thah
    aakhir aashiq main bun jaaunga
    per main ney yeh na socha thah
    keh shaair main bun jaaunga

    rehman mujahid
    Last edited by Mujahid Khan; 6 April 2007, 23:25.
Working...
X