Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

fikr-i-aakhirat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • fikr-i-aakhirat

    farishtey hain musannif teri hayat daastaan keliye
    ghhoomti kashti hai karo fikr baadbaan ke liye
    janoon-i-dil ki muhabbat hai gharibaan ke liye
    thhandi chaaun bhi hai talash kaarwaan ke liye
    bhai bahi he bana kar cheez taqseem kia
    tho haath utteh kiun bhai ke garebaan ke liye
    farishte hain musannif teri hayat daastan keliye

    haq mazloom ka khhaye jo woh barbaad hai
    zor sey zaalim chhine mazloom ki faryad hai
    yahi neki gunah insaan ki bunyaad hai
    pait bharne lagey maqsad tu apna bhool gaya
    tujeh bheja hai yahan sirf imtihaan ke liye
    farishtey hain musannif teri hayat daastan keliye

    khana khuda ho dil main ho tasweer-i-muhammad
    khof-i-khuda se di mey ho zanjeer muhammad
    maza phir ishq ka dekhho raho assir-i-muhammad
    dil jiss mey bus khof-i-khuda na ho............
    dil dil nahi hai ghhar faqat shetaan ke liye
    farishtey hain musannif teri hayat daastan keliye

    jo kum parde teri neki tho madadgaar nahi
    bhai bhai aur koi yaar-u-madadgaar nahi
    waan misl-i-dunya koi jazba koi eesaar nahi
    daale jaayengey tarazu mey phhir aamaal terey
    khudhe qaabu raho phhir hashar ke medaan keliye
    farishte hain musannif teri hayat daastan keliye

    hisaab hoga pura terey her pal raat din ka
    baanka na kar sakey koi ik baal bhi tho unka
    bojh halka woh kar saken sub apney mun ka
    achche aamaal ka palrda hua bhaari jinka
    log jaangey yeh jannat ke gulistaan ke liye
    farishte hain musannif teri hayat daastan keliye

    jinke bure aamaal ka palrda hoga bhaari
    wahan faryad chalega na koi aah na zaari
    tho hukm-i-allah he usi waqt hogi jaari
    'inhen bhardakti aag mey phhenko jo dilon tak pohnchey'
    phhenken jaange yahi log aag-i-baaran keliye
    farishte hain musannif teri hayat daastan keliye

    apni manzil ki musafat sir karna bhi hai hum ko
    jiss liye aaye hain, so karna bhi hai hum ko
    achcheh aamal ley key jaayen, ke marna bhi hum ko
    ik din machegi maatim aur uthha lengen
    iss mujahid ka janaza bhi qabristaan ke liye
    farishte hain musannif teri hayat daastan keliye
    Last edited by Mujahid Khan; 10 March 2007, 15:26.

  • #2
    Re: fikr-i-aakhirat

    bahut khobsurat Wror jana
    bahut shukriyaa
    wasalaam..

    Comment


    • #3
      Re: fikr-i-aakhirat

      Originally posted by Nisa* View Post
      bahut khobsurat Wror jana
      bahut shukriyaa
      wasalaam..
      deera deera manana khurai:rose

      Comment


      • #4
        Re: fikr-i-aakhirat

        very nice
        ab kitni baar kehna pary ga:khi:
        bohat achy
        Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

        Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

        Comment


        • #5
          Re: fikr-i-aakhirat

          bohat achay words use keay hain.nice haan.

          Comment


          • #6
            Re: fikr-i-aakhirat

            Originally posted by lucky View Post
            very nice
            ab kitni baar kehna pary ga:khi:
            bohat achy
            bohoth shukria ,aap tho thhuk gain hain hosla afzaai kar k laikin hum aap ka shukria ada kar k kabhi nahi thhakengey,aik murtaba phhir bohoth shukria aap ki hosla afzaai k liyee:phool:

            Comment


            • #7
              Re: fikr-i-aakhirat

              Assalaam-0-Alaikom:rose

              buhr acha kaalaam hai


              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: fikr-i-aakhirat

                Originally posted by Rida View Post
                Assalaam-0-Alaikom:rose

                buhr acha kaalaam hai

                bohoth bohoth shukria rida ji aap ki pasandeedgi k liyee

                Comment


                • #9
                  Re: fikr-i-aakhirat

                  Originally posted by sensible View Post
                  bohoth shukria ,aap tho thhuk gain hain hosla afzaai kar k laikin hum aap ka shukria ada kar k kabhi nahi thhakengey,aik murtaba phhir bohoth shukria aap ki hosla afzaai k liyee:phool:
                  nahi nahi:na:
                  main thaki nahi
                  main to tareef kr rahi hoon
                  k jo b pr rahi hoon acha hai:thmbup:
                  to hr baar acha keh rahi hoon
                  agr bura laga to sorry:)
                  Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

                  Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

                  Comment


                  • #10
                    Re: fikr-i-aakhirat

                    Originally posted by lucky View Post
                    nahi nahi:na:
                    main thaki nahi
                    main to tareef kr rahi hoon
                    k jo b pr rahi hoon acha hai:thmbup:
                    to hr baar acha keh rahi hoon
                    agr bura laga to sorry:)
                    nahi ji iss may bura maanney ki kia baath hai,hum tho aap ka shukria ada karna chaahtey hain:thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: fikr-i-aakhirat

                      jo kum parde teri neki tho madadgaar nahi
                      bhai bhai aur koi yaar-u-madadgaar nahi
                      waan misl-i-dunya koi jazba koi eesaar nahi
                      daale jaayengey tarazu mey phhir aamaal terey
                      khudhe qaabu raho phhir hashar ke medaan keliye
                      farishte hain musannif teri hayat daastan keliye

                      Comment

                      Working...
                      X