Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kesey kehdetey ho ke jao tumhey maaf kia

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kesey kehdetey ho ke jao tumhey maaf kia

    kesey kehh detey ho keh jao tumhey maaf kia
    halankey ishq ke kuch qaidey aur kitab hotey hain


    mehboob key nakhrey aur raqeeb ki shararaten
    bohoth hi ziada sakht aur purazab hotey hain
    kesey kehh detey ho keh jao tumhey maaf kia
    halankey ishq.............................................. .................

    kesey aajatey hain mehboob raqeeb ki baathon mey
    ussey maalum keh raqeeb khaana kharab hotey hain
    kesey............................................. ...................................
    halankey ishq.............................................. ............................

    tohfey tahaif aksar udhaar bhi kharidney hotey hain
    aur mehboob ye samjeh keh aashiq saarey nawab hothey hain
    kesy keh............................................... .............................
    halankey.......................................... .......................................

    aashiq ki saari umer tho bus khayalon mey guzarthi hai
    ik deed hothi hai aur mahinon phir khwab hothey hain
    kesy keh detey ho................................................ ............
    halankey.......................................... .................................

    ishq key rozgaar mey aashiq hamesha maqruz hotha hai
    uss ki tankhwa sey mehboob bohoth shaadab hothey hain
    kesey keh detey ho ke jao tumhey maaf kia
    halankey ishq ke kuch qaaidey aur kitaab hothey hain

  • #2
    Re: kesey kehdetey ho ke jao tumhey maaf kia

    ahan
    very intersting song :)
    i like it :)
    regards
    uzma khan

    Comment


    • #3
      Re: kesey kehdetey ho ke jao tumhey maaf kia

      Originally posted by gazal_uzma
      ahan
      very intersting song :)
      i like it :)
      regards
      uzma khan
      bohoth bohoth shukria uzma khan aap ki pasandidgi aur hosla afzaai ka,
      aap duaaon main hain meri,aur apni duaaon mey yaad rakhhiyega
      aap sadaon main hain meri aur khataaon sey baaz rakhiyega


      urs well wisher

      mujahid khan

      Comment


      • #4
        Re: kesey kehdetey ho ke jao tumhey maaf kia

        thanks for shairing..
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment

        Working...
        X