Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Teray Hozoor Aie Hoon
Collapse
X
-
Re: Teray Hozoor Aie Hoon
Walaikum Assalaam WR WB
Kaafi arsay baad aap ki tehreer paRhnay ka mouqa mila bohat acha laga, humesha ki tarhan aap nay nihayat saleeqay say apnay dili jazbaat ko lafzoon main dhaala hay, jis tarha baaz auqat sochain muntashir hoti hain aur insaan kisi aik taraf focus nahin kar paata issi tarha aap ki yeh tehreer paRh kar mehsoos horaha hay jaisay bohat saari cheesain bayak waqt aap kay dimagh main chal rahi hain, gunah ki nidamat, tou aanay walay jurm ka andesha, khouf-e-Khuda tou khouf-e-bandagi.... bohat kuch aik saath samaitnay ki koshish ki hay aap nay jis kay bayis aap kay lafzoo ka tasalsul kuch dagmagaata hua nazar aaraha hay, magar sachayi yeh hay kay aap ka yeh kalaam dili dastaan poori schayi say baghair kisi milawat kay bayan kar raha hay... jiss kay liye daad kay saath saaath SHUKRIYA ki bhi mustahiq hain, khush rahyeh aur humain bhi apni duwaoon main yaad rakhyeh ga kiyonki jiss roza-a-mubarak kay deedar ki aap nay baath ki hay waahan koi bhi khaali jholi nahin lout-ta.
Khush rahyeh :)sigpic
-
Re: Teray Hozoor Aie Hoon
Assalam o Alaikum wr wb...
Bohat bohat shukria Fire Sahab kay aap ko mera kalam pasand aya bari mehrbani aap ki...
Shukria kay aap sath sath islah bhi kartay rahtay hain aap loogon ki islah ki roshni main bohat kuch sikhnay ko milta rahta hai...
Bari nawazish aap ki..
Khush rahain...
میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا
میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے
Comment
Comment